Aoozu Billahi as-Samee al-Aleemi minash Shaitanir Rajeem
Bismillah,…, Alhamdulillahi wahdah was salaatu was salaamu ala man la nabiya ba’adah
Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani yafqahu qauli
As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu
Pichle Dars me hum Surah al-Baqarah ki 28wi ayat ki tafseer me teen alfaaz Takfuroona, Amwaata, Ahyakum ki tafseel sunn rahe thay. Aaj ke dars me hum iss ayat ki tafseel aagay jaanenge.
Tarjuma wa Tafseer
Vs. No. 28 Cont’d…
كَيۡفَ تَكۡفُرُوۡنَ بِاللّٰهِ وَڪُنۡتُمۡ اَمۡوَاتًا فَاَحۡيَاکُمۡۚ ثُمَّ يُمِيۡتُكُمۡ ثُمَّ يُحۡيِيۡكُمۡ ثُمَّ اِلَيۡهِ تُرۡجَعُوۡنَ
Tum kaise kufr karte ho Allah ka, jab ke tum murda thay phir uss ne tumhe zindah kiya, phir wo tumhe maar dega phir tumhe zinda karega phir tum ussi ki taraf lautta diye jaoge.
Iss ayat ke 4 alfaaz me se hum pehle teen alfaaz takfuroona aur Amwaata ko summarize kar chuke hain aur lafz-e-ahyakum par Quran ki ayaat aur chand ahadith sunn chuke hain, aaj iss lafz par aur ahadith aa rahi hain aur turjaoon ko hum summarize karenge.
Iss lafz par ahadith me aagay,
- Lafz-e-Hayyan aya hai, qabile ya tribe ke maano me; Qatada (رضي الله عنه) farmate hain ke, humein arab qabail me se kisi aise qabilay ka ilm nahi, jis ne ansaar se zyada shuhada pesh kiye hon, aur Qiyamat ke din, unhe doosron par fazeelat hasil hogi, hume Anas (رضي الله عنه) ne bataya ke ansaar me se sattar afraad Jung-e-Uhud me shaheed huwe, 70 afraad Bir-Mauna ke din, aur 70 afraad al-Yamama ki jung ke dauran. Aur Bir Mauna ka waqiya Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ki zindagi me pesh aya aur Yamama ki jung Abu Bakr Siddique (رضي الله عنه) ki khilafat me, jis me Musailimah al-Kadhdhab mara gaya.[1]
- Zinda bachne ke maane aaye hain, Maqil (رضي الله عنه) ne kaha, main tumhein ek aisi hadith sunane ja raha hoon, jisay maine Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) se suna hai aur agar mujhe maloom hota ke main zinda rahoonga, to main usay bayan na karta…[2]
- Ek waqt Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) bazar se guzre aur log aap ke dono taraf chal rahe thay, wahan aap (صلى الله عليه وسلم) ko ek murda bakri ka bachha mila, jis ke kaan bohot chhotte thay;
- Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne uss ka kaan pakda aur farmaya, tum me se kaun isay ek dirham ke badlay lena pasand karega?
- Logon ne kaha, hum to isay iss se kum qeemat par bhi lena pasand nahin karenge, kyun ke, ye hamare kisi kaam ka nahi hai.
- Aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, kya tum isay muft me lena pasand karoge?
- Unhone kaha, Allah ki qasam! Agar ye zinda hota bhi hota, tab bhi hum isay rakhna pasand na karte, kyun ke, iss ka kaan bohot chhotta hai aur ab to ye murda bhi hai.
- Iss par Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, Allah ki qasam! Ye duniya Allah ki nazar me iss murda bakri ke bachhe se bhi zyada haqeer aur bekaar hai, jitna ye tumhari nazar me hai.[3]
- Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, murde ki haddi todhna aisa hi hai, jaise usay zinda halat me todhna.[4]
- Ibn Umar (رضي الله عنه) apne baytte Waqid bin Abdulla ko kafnaya, jab ke unn ka inteqaal ihraam ki halat me huwa, to unhone apne baytte ka sarr aur chehra dhamp diya aur kaha ke, agar ye ihraam ki halat me na hota to isay attar bhi lagata. Imam Malik kehte hain ke, insaan baaz cheezen hi kar sakta hai jab tak wo zinda hai, wo amal ruk jaate hain.[5]
- Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne ek sahabi se farmaya, Aye Ruwaifi! (رضي الله عنه) ho sakta hai ke, tum mere baad lambe arsay tak zinda rahoge, so logon ko batao ke, jo shakhs apni dadhi ko bandhega, ya usay bal deta hai, ya taweez lattkata hai, ya (qaza-e-hajat ke baad) janwaron ke gobar, ya haddiyon se istinja karta hai ya taharat hasil karta hai, to Muhammad (صلى الله عليه وسلم) ka uss se koi taloq nahi.[6]
- Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ki zindagi me honay walay waqiyaat ki bohot ahmiyat hai, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ki hayat-e-tayyaba me,
- Umar (رضي الله عنه) farmate hain ke, unhone Hisham bin Hakeem (رضي الله عنه) Surah al-Furqan tilawat karte huwe suna, aur notice kiya ke wo ye surah alag tareeqe se parrh rahe hain,
- Umar (رضي الله عنه) intezaar karte hain, Hisham (رضي الله عنه) ke namaz khatam karne ka, aur jaise hi unhone namaz khatam ki, Umar (رضي الله عنه) ne apni chadar ko unn ke galay me daal kar kheencha aur poochha, ye Surah iss tareeqe se parrhna tumhe kis ne sikhaya?
- Uhone jawab diya ke, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne mujhe sikhaya iss tarah parrhna, iss par Umar (رضي الله عنه) ne kaha ke tum jhootte ho, iss se alag tareeqe se parrhna Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne sikhaya hai,
- Chunache, Umar (رضي الله عنه) ne Hisham (رضي الله عنه) ko kheenchte huwe, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ke paas le gaye, aur arz kiya ke, maine iss shakhs ko Surah al-Furqan mukhtalif qirat se parrhte huwe suna hai, jo aap ne mujhe sikhayi hai,
- Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, unhe chhorrh do, aur kaha Hisham! Tum parrh kar sunao,
- To unhone wohi Qirat parrhi jaisa ke Umar (رضي الله عنه) ne pehle suna tha, to Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, ye Surah issi tarah nazil huwi hai,
- Phir aap ne farmaya, Aye Umar ab tum parrho! To Umar (رضي الله عنه) ne bhi qirat kar ke sunaya, jaisa Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne unhe sikhaya tha,
- Aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, ye surat iss tarah bhi nazil huwi hai, ye Quran Arab ki 7 boliyon par utara gaya hai,
- Bas tumhe jis qira’at par sahoolat ho, wo parrh lo.[7]
- Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ki zindagi me ka ek aur waqiya, Ibn Umar (رضي الله عنه) ne ek khwaab dekha, jis me wo dekhte hain ke, do farishte unhe pakad kar dozaq ki taraf le ja rahe hain, aur unhone uss me unn logon ko dekha jinhe wo jaante thay, aur wo khwab me hi dozakh se panah maangne lagte hain. Phir ek aur farishta unn do farishton se milta hai, aur Ibn Umar (رضي الله عنه) se kehta hai ke, pareshan matt ho. Ye khwab Ibn Umar (رضي الله عنه) ne apni behan Umm al-Momineen Hafsa (رضي الله عنها) ko bataya aur unhone, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) se bayan kiya. Iss par aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, Abdullah kitne hi behtareen shakhs hain, kash wo raat ki namaz (yani tahajjud) ka ehtemam karte.[8]
- Phir Iss duniya ki zindagi ke baare me, chand ahadith hain;
- Imam Bukhari ne al-Adab al-Mufrad me hadith jama ki hai, Abu Sayeed (رضي الله عنه) farmate hain ke, ek shakhs Bahrain se aya Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ke paas aur salam kiya, lekin aap (صلى الله عليه وسلم) ne jawab nahi diya, wo ek sonay ki anghotti aur resham ka jhubba pehna huwa tha, wo shakhs ghamgeen ho kar wapas chala gaya,
- Aur apni biwi se shikayat ki, to uss ne kaha, shayed Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ko aap ke jhubbay anghotti par aiteraaz hai, unhe utaar do aur phir wapas jao, unhone aisa hi kiya, to Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne unn ke salam ka jawab diya,
- Uss shakhs ne arz kiya, main kal aap (صلى الله عليه وسلم) ke paas aya tha, magar, aap ne mujh se munh pher liya tha, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, tumhare hath par ek aag ka angara tha,
- Uss ne arz kiya, main to bohot se angaare le aya hoon, aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, jahan tak tumhare laye huwe inn pathharon ka ta’aloq hai, to koi bhi unn ki zaroorat se door nahi, lekin ye to duniya ki zindagi ka ek saman hai,
- Uss ne poochha, main anghotti kis cheez ki bana’oon, aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, chandi, peetal ya lohay ki.[9]
- Ubada ibn as-Samit (رضي الله عنه) ne Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) se Quran ki Surah Yunus ki iss ayat ka matlab poochha,
- Unn ke liye duniya ki zindagi me bhi basharat hai, khush-khabri hai, aur aakhirat me bhi…[10]
- Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, ye to achhay khwab hain, jo musalman dekhta hai, ya uss ke baare me dekhe jaate hain.[11]
- Dua’on me,
- Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم), ye dua kiya karte thay, Aye Allah! Tere Ilm-e-Ghaib aur teri muqlooqaat par qudrat ke sadqe, Mujhe uss waqt tak zinda rakh, jab tak tu jaanta hai ke, zindagi mere liye khair o behtar hai, aur mujhe uss waqt maut de, jab tu jaanta hai ke, maut mere liye behtar hai,
- main tujh se posheeda aur zahir, har haal me tere khauf ka, aur khushi aur ghussay ke aalam me sachi baat kehne ki taufeeq ka sawal karta hoon,
- Main tujh se aisi nemat aur khushi maangta hoon, jo kabhi khatam na ho,
- Main tujh se tere faislay par razi rehne, maut ke baad, pur-sukoon zindagi aur tere deedaar ki lazzat ka talabgaar hoon,
- Main teri zaat-e-kareem aur tere deedaar ke shauq ka sawal karta hoon, aur nuqsaan deh museebaton aur gumraah kun, aazmaishon se teri panah chahta hoon,
- Aye Allah! Hume iman ki zeenat se aaraasta farma, aur humein aise rehnuma bana, khud bhi hidayat yafta hon aur doosron ki rehnumayi karne walay hon.[12]
- Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) inn alfaaz ke sath dua maanga karte thay;
- Aye Allah! Mere liye, mere deen ki islaah farma jo mere tamam muamelaat ka muhafiz hai,
- Aur meri duniya ki islaah farma, jis me mera rizq hai,
- Aur meri aakhirat ki islaah farma, jahan mujhe lautt kar jana hai,
- Aur zindagi ko meri har bhalai me izafay ka zariya bana,
- Aur maut ko mere liye har burai se najaat ka zariya bana.[13]
Ab iss ayat ka chohta lafz تُرۡجَعُوۡنَ hai jisay hum summarize karenge aur Surah al-Fatiha se parrhne ki tarteeb ka lafz 78 haiو
78. YARJI-UNN (They return ) 2:18 ( يَرجِعُون ( ر ج ع
Quran me ye lafz,
- Duniya me wapas aana,
- Nazar ke lautna,
- Rooh ka wapas na aana,
- Allah ki taraf aakhri waapsi ke aaye hain.
Ahadith me,
- Jannat me jaane ke baad koi duniya me wapas nahi aana chahega, siwaye Shaheed ke. Wo shahadat ke rutbe ki wajah se 10 baar duniya me wapas aakar Allah ki raah me qatl hona chahega.
- Diya hua tohfa (gift) wapas lena haraam hai (siwaye baap ke jo apne bete ko de). Tohfa wapas lene wale ki misaal us kutte jaisi hai jo apni hi qai (vomit) ko wapas khata hai.
- Jo shakhs namaz-e-janaza aur tadfeen dono me shareek ho kar wapas aata hai, usay do Qiraat (Uhud pahad ke barabar) sawab milta hai. Sirf namaz parhne wale ko ek Qiraat sawab milta hai.
- Jab koi Musalman apne bimar bhai ki iyadat ke liye jata hai, to wapas aane tak wo jannat ke phal todne me masroof rehta hai.
To ayat par wapas aate hain,
كَيۡفَ تَكۡفُرُوۡنَ بِاللّٰهِ وَڪُنۡتُمۡ اَمۡوَاتًا فَاَحۡيَاکُمۡۚ ثُمَّ يُمِيۡتُكُمۡ ثُمَّ يُحۡيِيۡكُمۡ ثُمَّ اِلَيۡهِ تُرۡجَعُوۡنَ
Tum kaise kufr karte ho Allah ka, halanke tum murda thay phir uss ne tumhe zindah kiya, phir wo tumhe maarega phir tumhe zinda karega phir tum ussi ki taraf lautta diye jaoge.
- Ab jo explanation aaraha hai iss ka maqsad kisi ko Kafir kehne ke liye nahi — balke khud se sawal karne ke liye hai.
- Kaifa Takfuruna? Main kaise inkar kar sakta hoon jab mere andar hi 4 stages ki gawahi hai?
- Har insan apne andar yeh 4 stages dekh sakta hai. Pehle tha nahi. Phir paida huwa. Ab zinda hun. Ek din marna hai. Phir, uss ke baad kya?
- Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ne iss ayat mein ek aisa sawal kiya hai jiss ka jawab khud hamara wujood de raha hai.
- Surah Al-Mulk mein Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ne iss poore safar ka maqsad bhi bayan kar diya:
الَّذِیۡ خَلَقَ الۡمَوۡتَ وَالۡحَیٰوۃَ لِیَبۡلُوَکُمۡ اَیُّکُمۡ اَحۡسَنُ عَمَلًا
- Usne maut aur zindagi ko isliye paida kiya taake tumhe aazmaye ke kaun achhe amal karta hai.[14]
- Surah al-Baqarah ki iss ayat ka maqsad ye hi samajh mein aaraha hai, kay Maut aur zindagi — dono imtehan ke liye hain aur chohta stage maut ke baad phir utthna hai, uss imtehan ke result ke liye.
POINT 1: 4 STAGES KI HAQEEQAT — HUM KYA THAY, KYA HAIN, KYA HO JAYENGE…
Hum is duniya mein aane se pehle kya thay? Paidaish ke pehlay ka Aalam, Roohon se ya arwaah se gawahi li gayi, Quran mein Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) farmate hai:
وَ اِذۡ اَخَذَ رَبُّكَ مِنۡۢ بَنِىۡۤ اٰدَمَ مِنۡ ظُهُوۡرِهِمۡ ذُرِّيَّتَهُمۡ وَ اَشۡهَدَهُمۡ عَلٰٓى اَنۡفُسِهِمۡ ۚ اَلَسۡتُ بِرَبِّكُمۡ ؕ قَالُوۡا بَلٰى ۛۚ …
- Aur jab aap ke Rab ne Adam ki peethon se unn ki aulad ko nikala aur unn se gawahi li ke, batao ‘Kya Main tumhara Rab nahi hun?’ Unhon ne kaha: ‘kyun Nahi, hum gawahi dete hain!’…[15]
- Hadith mein aata hai, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ne Adam (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ki peeth par haath phera aur uss me se unn ki tamam aulad nikali jo Qayamat tak paida hone wali hai. [16]
- Iss se ye samajh mein aata hai ke hamara physical form ek gene ki shakal mein tha, jis ka size, scientist batate hain ke sirf 6.5 picogram = 0.0000000000065 gram hai [17] [18]
- Quran mein Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) farmate hain, Kya insan yaad nahi karta ke Hum ne usay pehle paida kiya jabke wo kuch bhi nahi tha?[19]
- Quran mein Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) Surah Al-Insan mein farmaya: Insan par ek zamana aisa bhi tha jab wo zikr ke qabil bhi nahi tha.[20]
Aur jo hamari ruh ya soul hai wo kahan thi;
- Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke Rasool Allah (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ne farmaya: Roohein (Aalam-e-Arwah me) jama ki hui faujein hain, to jo roohein wahan ek dusre se pehchan gayi thi, woh duniya me bhi ek dusre se mohabbat aur ulfat rakhti hain, aur jo wahan ek dusre se anjaan rahi, woh duniya me bhi ikhtelaf aur doori rakhti hain.”[21]
Urdu lafz Rooh aur arabic lafz ruh ka farq, aur arabic Lafz-e-ins, Insan, An-Nas, Nafs aur Bashr, ye alfaz ka farq hum pichlay dars ke Part 17, 18 aur 19 mein sun chuke hain. Yahan jis ka istemal kiya gaya hai wo urdu ka lafz-e-Rooh yani arabic ka lafz-e-ins hai
Chunke baat maut aur hayat ki ho rahi hai, toh ye batana zaroori hai ke insan ka physical jism aur uss ki ruh dono zaroori hai hayat ke liye, saza ke liye aur jaza ke liye, sirf kisi ek ko saza ya jaza nahi di ja sakti;
- Allah farmate hain Jahannam ke baare me, Jab unn ki khaalein pak jayengi to Hum unhein dusri khaalon se badal denge taake wo jalne ka maza chakhein.[22]
- Agar sirf Ruh ko saza hoti to khaal badalne ki zarurat kya thi? Khaal (jism) badli ja rahi hai taake Ruh dard mehsoos kare.
- Allah Jannat ke baare mein farmate hain, Uss din kuch chehre tar-o-taza honge, apne Rab ko dekh rahe honge,[23]
- Aankh (jism) se hai, khushi mehsoos karna Ruh se hai. Dono saath hain.
- Khana khaane ke baad ki Dua hai: [24]
الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنَا وَسَقَانَا وَكَفَانَا وَآوَانَا فَكَمْ مِمَّنْ لاَ كَافِيَ لَهُ وَلاَ مُئْوِيَ
- Yahan “Na” (نَا) Jama (Plural) ka seegha hai.
- Agar sirf ek shakhs (ek jism) khana khata to kehta:
أَطْعَمَنِي وَسَقَانِي وَجَعَلَنِي –
- Mujhe khilaya, mujhe pilaya, mujhe banaya.
- Lekin Rasool Allah (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ne “Na” (Humko) sikhaya – At’amana wa saqana wa ja’alana.
- Kyun? Ulama kehte hain 2 wajah:
- Jism aur Ruh dono: Khana jism ko mila, paani jism ko mila, lekin sayr hone ka ehsaas, shukr ka ehsaas Ruh ko mila.
- Isliye dono ka zikr jama ke seeghe me kiya – Jism aur Ruh dono ko faida hua.
- Ibn Qayyim (رَحْمَةُ اللهِ) kehte hain: Insan akela nahi khata, uss ke saath uss ke aaza, uss ki rooh, aur farishte jo uss ke amal likhte hain, sab iss nemat me shareek hain.
Science kya kehti hai?
- Science kehti hai tamam insan ek hi baap – Y-Chromosomal Adam (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) se aaye hain jo 190,000 se 300,000 saal pehle rehtay thay.
- Tehqeeq se pata chala ke tamam insan ek hi mard ki aulad hain jo lagbhag 190,000 saal pehle zameen par thay.” [25] [26]
- Aur doosri tehqeeq kehti hai “Y-Chromosomal Adam 200,000 se 300,000 saal pehle maujood tha. ” [27] [28] [29]
- “Har insan apna adha DNA apne baap se leta hai – 50% walid se, 50% walida se” (National Institute of Health ke mutabiq) [30] [31] [32]
- Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) Quran mein farmate hain: Tumhe ek hi jaan (nafs) se paida kiya aur ussi se uss ka joda banaya.[33]
- Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke, Rasoolullah (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ne farmaya, lambi hadith hai ke, …Aur auraton ke saath achha sulook karo, kyunki aurat pasli se paida ki gayi hai,…” [34]
- Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ne pasli chuni taake Adam (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) maazoor na hon, kyun ke Pasli ek aesi haddi hai jo dobara bann jati hai (re-grow ho jati hai) aur stem cells ka khazana hai,
- Tehqeeq se pata chala ke pasli nikalne ke baad 1-2 mahine me dobara ban jati hai, iss liye pasli nikalne se insan maazoor nahi hota (UCSF Study 2017) [35] [36]
- Scientist kehte hain “Humne pasli iss liye chuni kyunki ye aasani se mil jati hai aur iss me stem cells ka khazana hota hai [37] [38] [39] (Rice University, Mikos Lab 2015)
- tehqeeq se pata chalta hai ke Aurat ko mard se banana mumkin hai: aam taur per ek mard mein ek X aur ek Y chromosome hote hain aur ek aurat mein do yani 2 X chromosomes hotey hain, [40] iss ka matlab ye hai ke aurat ke chromosomes mard mein maujood hote hain.[41]
- Microcell-mediated chromosome transfer (MMCT) ek aisi technique hai jiss se ek defined donor cell line se ek chromosome ko alag karke dusri recipient cell line me transfer kiya jata hai. [42] [43] aur pehlay wala chromosome waise hi baqi rehta hai [44]
- Matlab ye ke Adam (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke rib ke cell se Y hata kar X duplicate kar diya to Hawwa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ban gayi [45]
- Hum samajh rahe thay ke ye Quran aur Hadith mein kuch 1450 saal puranay qisse aur kahaniya hai chhotte bacchon ke liye, lekin science aaj uss ki tasdeeq kar rahi hai.
Toh pehlay hum log “kuch bhi nahi thay” aur “zikr ke qabil bhi nahi thay”, Iska matlab hai ke hamara maujooda wujood (current existence form) mein nahi tha.
- Balki hum Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ke ilm mein the, aur Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ke hukum se Adam (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ki nasl ke taur par maujood thay aur hamari roohein, Alam-e-Arwah mein thi.
To yahan aaj ka dars rok denge, next Saturday iss ayat ki tafseer In Sha Allah aagay sunenge.
Al hamdulillahi Rabbil Alameen
Allahumma Silli wa Sallim wa Barik ala abdika wa rasoolika wa sayyidana Muhammad wa ala aalihi wa azwaajihi wa barik wa sallam
Rabbana aatina fid duniya…
References
[1] Narrated Qatada: We do not know of any tribe amongst the ‘Arab tribes who lost more martyrs than Al-Ansar, and they will have superiority on the Day of Resurrection. Anas bin Malik told us that seventy from the Ansar were martyred on the day of Uhud, and seventy on the day (of the battle of) Bir Ma’una, and seventy on the day of Al-Yamama. Anas added, “The battle of Bir Ma’una took place during the lifetime of Allah’s Apostle and the battle of Al-Yamama, during the caliphate of Abu Bakr, and it was the day when Musailamah Al-Kadhdhab was killed.”
حَدَّثَنِي عَمْرُو بْنُ عَلِيٍّ ، حَدَّثَنَا مُعَاذُ بْنُ هِشَامٍ ، قَالَ حَدَّثَنِي أَبِي ، عَنْ قَتَادَةَ ، قَالَ مَا نَعْلَمُ حَيًّا مِنْ أَحْيَاءِ الْعَرَبِ أَكْثَرَ شَهِيدًا أَعَزَّ يَوْمَ الْقِيَامَةِ مِنَ الأَنْصَارِ. قَالَ قَتَادَةُ وَحَدَّثَنَا أَنَسُ بْنُ مَالِكٍ أَنَّهُ قُتِلَ مِنْهُمْ يَوْمَ أُحُدٍ سَبْعُونَ، وَيَوْمَ بِئْرِ مَعُونَةَ سَبْعُونَ، وَيَوْمَ الْيَمَامَةِ سَبْعُونَ، قَالَ وَكَانَ بِئْرُ مَعُونَةَ عَلَى عَهْدِ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم، وَيَوْمُ الْيَمَامَةِ عَلَى عَهْدِ أَبِي بَكْرٍ يَوْمَ مُسَيْلِمَةَ الْكَذَّابِ.
Reference: Sahih al-Bukhari 4078
[2] Hasan reported: ‘Ubaidullah b. Ziyad paid a visit to Ma’qil b. Yasar Muzani in his illness of which he (later on) died. (At this juncture) Ma’qil said: I am going to narrate to you a hadith which I have heard from the Messenger of Allah (may peace be upon him) and which I would not have transmitted if I knew that I would survive. Verily I have heard the Messenger of Allah (may peace be upon him) say: There is none amongst the bondsmen who was entrusted with the affairs of his subjects and he died in such a state that he was dishonest in his dealings with those over whom he ruled except that Paradise is forbidden for him.
حَدَّثَنَا شَيْبَانُ بْنُ فَرُّوخَ ، حَدَّثَنَا أَبُو الأَشْهَبِ ، عَنِ الْحَسَنِ ، قَالَ عَادَ عُبَيْدُ اللَّهِ بْنُ زِيَادٍ مَعْقِلَ بْنَ يَسَارٍ الْمُزَنِيَّ فِي مَرَضِهِ الَّذِي مَاتَ فِيهِ . قَالَ مَعْقِلٌ إِنِّي مُحَدِّثُكَ حَدِيثًا سَمِعْتُهُ مِنْ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم لَوْ عَلِمْتُ أَنَّ لِي حَيَاةً مَا حَدَّثْتُكَ إِنِّي سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ” مَا مِنْ عَبْدٍ يَسْتَرْعِيهِ اللَّهُ رَعِيَّةً يَمُوتُ يَوْمَ يَمُوتُ وَهُوَ غَاشٌّ لِرَعِيَّتِهِ إِلاَّ حَرَّمَ اللَّهُ عَلَيْهِ الْجَنَّةَ ” .
Reference: Sahih Muslim 142a
[3] Jabir b. Abdullah reported that Allah’s Apostle (may peace be upon him) happened to walk through the bazar coming from the side of ‘Aliya and the people were on both his sides. There he found a dead lamb with very short ears. He took hold of his ear and said: Who amongst you would like to have this for a dirham? They said: We do not like to have it even for less than that as it is of no use to us. He said: Do you wish to have it (free of any cost)? They said: By Allah, even if it were alive (we would not have liked to possess that), for there is defect in it as its ear is very short; now it is dead also. Thereupon Allah’s Messenger (may peace be upon him) said: By Allah, this world is more insignificant in the eye of Allah than it (this dead lamb) is in your eye.
حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مَسْلَمَةَ بْنِ قَعْنَبٍ ، حَدَّثَنَا سُلَيْمَانُ، – يَعْنِي ابْنَ بِلاَلٍ – عَنْ جَعْفَرٍ ، عَنْ أَبِيهِ ، عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم مَرَّ بِالسُّوقِ دَاخِلاً مِنْ بَعْضِ الْعَالِيَةِ وَالنَّاسُ كَنَفَتَهُ فَمَرَّ بِجَدْىٍ أَسَكَّ مَيِّتٍ فَتَنَاوَلَهُ فَأَخَذَ بِأُذُنِهِ ثُمَّ قَالَ ” أَيُّكُمْ يُحِبُّ أَنَّ هَذَا لَهُ بِدِرْهَمٍ ” . فَقَالُوا مَا نُحِبُّ أَنَّهُ لَنَا بِشَىْءٍ وَمَا نَصْنَعُ بِهِ قَالَ ” أَتُحِبُّونَ أَنَّهُ لَكُمْ ” . قَالُوا وَاللَّهِ لَوْ كَانَ حَيًّا كَانَ عَيْبًا فِيهِ لأَنَّهُ أَسَكُّ فَكَيْفَ وَهُوَ مَيِّتٌ فَقَالَ ” فَوَاللَّهِ لَلدُّنْيَا أَهْوَنُ عَلَى اللَّهِ مِنْ هَذَا عَلَيْكُمْ ” .
Reference: Sahih Muslim 2957a
[4] Narrated Aisha, Ummul Mu’minin: The Messenger of Allah (saws) said: Breaking a dead man’s bone is like breaking it when he is alive.
حَدَّثَنَا الْقَعْنَبِيُّ ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الْعَزِيزِ بْنُ مُحَمَّدٍ ، عَنْ سَعْدٍ، – يَعْنِي ابْنَ سَعِيدٍ – عَنْ عَمْرَةَ بِنْتِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ ، عَنْ عَائِشَةَ ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ” كَسْرُ عَظْمِ الْمَيِّتِ كَكَسْرِهِ حَيًّا ” .
Grade: Sahih (Al-Albani) | Reference: Sunan Abi Dawud 3207
[5] Yahya related to me from Malik from Nafi that Abdullah ibn Umar shrouded his son Waqid ibn Abdullah, who had died at al-Juhfa while in ihram, and he veiled his head and face and said, “If we had not been in ihram we would have perfumed him. ” Malik said, “A man can only do things while he is alive. When he is dead, his actions stop.”
وَحَدَّثَنِي عَنْ مَالِكٍ، عَنْ نَافِعٍ، أَنَّ عَبْدَ اللَّهِ بْنَ عُمَرَ، كَفَّنَ ابْنَهُ وَاقِدَ بْنَ عَبْدِ اللَّهِ وَمَاتَ بِالْجُحْفَةِ مُحْرِمًا وَخَمَّرَ رَأْسَهُ وَوَجْهَهُ وَقَالَ لَوْلاَ أَنَّا حُرُمٌ لَطَيَّبْنَاهُ . قَالَ مَالِكٌ وَإِنَّمَا يَعْمَلُ الرَّجُلُ مَا دَامَ حَيًّا فَإِذَا مَاتَ فَقَدِ انْقَضَى الْعَمَلُ .
Reference: Muwatta Malik Book 20, Hadith 14
[6] Ruwaifi’ bin Thabit said: “The Messenger of Allah [SAW] said: ‘O Ruwaifi’, you may live for a long time after me, so tell the people that whoever ties up his beard, or twists it, or hangs an amulet, or cleans himself (after relieving himself) with animal dung or bones, Muhammad has nothing to do with him.'”
أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ سَلَمَةَ ، قَالَ حَدَّثَنَا ابْنُ وَهْبٍ ، عَنْ حَيْوَةَ بْنِ شُرَيْحٍ ، وَذَكَرَ، آخَرَ قَبْلَهُ عَنْ عَيَّاشِ بْنِ عَبَّاسٍ الْقِتْبَانِيِّ ، أَنَّ شُيَيْمَ بْنَ بَيْتَانَ ، حَدَّثَهُ أَنَّهُ، سَمِعَ رُوَيْفِعَ بْنَ ثَابِتٍ ، يَقُولُ إِنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ” يَا رُوَيْفِعُ لَعَلَّ الْحَيَاةَ سَتَطُولُ بِكَ بَعْدِي فَأَخْبِرِ النَّاسَ أَنَّهُ مَنْ عَقَدَ لِحْيَتَهُ أَوْ تَقَلَّدَ وَتَرًا أَوِ اسْتَنْجَى بِرَجِيعِ دَابَّةٍ أَوْ عَظْمٍ فَإِنَّ مُحَمَّدًا بَرِيءٌ مِنْهُ ” .
Grade: Sahih (Darussalam) | Reference: Sunan an-Nasa’i 5067
[7] Narrated `Umar bin Al-Khattab: I heard Hisham bin Hakim reciting Surat-al-Furqan during the lifetime of Allah’s Apostle, I listened to his recitation and noticed that he was reciting in a way that Allah’s Apostle had not taught me. I was about to jump over him while He was still in prayer, but I waited patiently and when he finished his prayer, I put my sheet round his neck (and pulled him) and said, “Who has taught you this Sura which I have heard you reciting?” Hisham said, “Allah’s Apostle taught it to me.” I said, “You are telling a lie, for he taught it to me in a way different from the way you have recited it!” Then I started leading (dragged) him to Allah’s Apostle and said (to the Prophet), ” I have heard this man reciting Surat-al-Furqan in a way that you have not taught me.” The Prophet said: “(O `Umar) release him! Recite, O Hisham.” Hisham recited in the way I heard him reciting. Allah’s Apostle said, “It was revealed like this.” Then Allah’s Apostle said, “Recite, O `Umar!” I recited in the way he had taught me, whereupon he said, “It was revealed like this,” and added, “The Qur’an has been revealed to be recited in seven different ways, so recite of it whichever is easy for you .” (See Hadith No. 514, Vol. 6)
حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ بُكَيْرٍ ، حَدَّثَنَا اللَّيْثُ ، عَنْ عُقَيْلٍ ، عَنِ ابْنِ شِهَابٍ ، حَدَّثَنِي عُرْوَةُ ، أَنَّ الْمِسْوَرَ بْنَ مَخْرَمَةَ ، وَعَبْدَ الرَّحْمَنِ بْنَ عَبْدٍ الْقَارِيَّ ، حَدَّثَاهُ أَنَّهُمَا، سَمِعَا عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ ، يَقُولُ سَمِعْتُ هِشَامَ بْنَ حَكِيمٍ، يَقْرَأُ سُورَةَ الْفُرْقَانِ فِي حَيَاةِ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فَاسْتَمَعْتُ لِقِرَاءَتِهِ، فَإِذَا هُوَ يَقْرَأُ عَلَى حُرُوفٍ كَثِيرَةٍ لَمْ يُقْرِئْنِيهَا رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم، فَكِدْتُ أُسَاوِرُهُ فِي الصَّلاَةِ، فَتَصَبَّرْتُ حَتَّى سَلَّمَ، فَلَبَبْتُهُ بِرِدَائِهِ فَقُلْتُ مَنْ أَقْرَأَكَ هَذِهِ السُّورَةَ الَّتِي سَمِعْتُكَ تَقْرَأُ قَالَ أَقْرَأَنِيهَا رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فَقُلْتُ كَذَبْتَ، أَقْرَأَنِيهَا عَلَى غَيْرِ مَا قَرَأْتَ. فَانْطَلَقْتُ بِهِ أَقُودُهُ إِلَى رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فَقُلْتُ إِنِّي سَمِعْتُ هَذَا يَقْرَأُ سُورَةَ الْفُرْقَانِ عَلَى حُرُوفٍ لَمْ تُقْرِئْنِيهَا. فَقَالَ ” أَرْسِلْهُ، اقْرَأْ يَا هِشَامُ ”. فَقَرَأَ الْقِرَاءَةَ الَّتِي سَمِعْتُهُ. فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ” كَذَلِكَ أُنْزِلَتْ ”. ثُمَّ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ” اقْرَأْ يَا عُمَرُ ”. فَقَرَأْتُ الَّتِي أَقْرَأَنِي فَقَالَ ” كَذَلِكَ أُنْزِلَتْ، إِنَّ هَذَا الْقُرْآنَ أُنْزِلَ عَلَى سَبْعَةِ أَحْرُفٍ فَاقْرَءُوا مَا تَيَسَّرَ مِنْهُ ” .
Reference: Sahih al-Bukhari 7550
[8] Narrated Ibn `Umar: If a man saw a dream during the lifetime of the Prophet he would narrate it to the Prophet. Once I wished to see a dream and narrate it to the Prophet I was young, unmarried, and used to sleep in the Mosque during the lifetime of the Prophet. I dreamt that two angels took me and went away with me towards the (Hell) Fire which looked like a well with the inside walls built up, and had two side-walls like those of a well. There I saw some people in it whom I knew. I started saying, “I seek Refuge with Allah from the (Hell) Fire, I seek Refuge with Allah from the (Hell) Fire.” Then another angel met the other two and said to me, “Do not be afraid.” I narrated my dream to Hafsa who, in her turn, narrated it to the Prophet. He said, “What an excellent man `Abdullah is if he only observes the night prayer.” (Salem, a sub-narrator said, “Abdullah used not to sleep at night but very little hence forward.”
حَدَّثَنَا إِسْحَاقُ بْنُ نَصْرٍ ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّزَّاقِ ، عَنْ مَعْمَرٍ ، عَنِ الزُّهْرِيِّ ، عَنْ سَالِمٍ ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ ـ رضى الله عنهما ـ قَالَ كَانَ الرَّجُلُ فِي حَيَاةِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم إِذَا رَأَى رُؤْيَا قَصَّهَا عَلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم، فَتَمَنَّيْتُ أَنْ أَرَى رُؤْيَا أَقُصُّهَا عَلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم، وَكُنْتُ غُلاَمًا أَعْزَبَ، وَكُنْتُ أَنَامُ فِي الْمَسْجِدِ عَلَى عَهْدِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم فَرَأَيْتُ فِي الْمَنَامِ كَأَنَّ مَلَكَيْنِ أَخَذَانِي فَذَهَبَا بِي إِلَى النَّارِ، فَإِذَا هِيَ مَطْوِيَّةٌ كَطَىِّ الْبِئْرِ، فَإِذَا لَهَا قَرْنَانِ كَقَرْنَىِ الْبِئْرِ، وَإِذَا فِيهَا نَاسٌ قَدْ عَرَفْتُهُمْ، فَجَعَلْتُ أَقُولُ أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ النَّارِ، أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ النَّارِ. فَلَقِيَهُمَا مَلَكٌ آخَرُ فَقَالَ لِي لَنْ تُرَاعَ. فَقَصَصْتُهَا عَلَى حَفْصَةَ. فَقَصَّتْهَا حَفْصَةُ عَلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم فَقَالَ “ نِعْمَ الرَّجُلُ عَبْدُ اللَّهِ، لَوْ كَانَ يُصَلِّي بِاللَّيْلِ ” . قَالَ سَالِمٌ فَكَانَ عَبْدُ اللَّهِ لاَ يَنَامُ مِنَ اللَّيْلِ إِلاَّ قَلِيلاً .
Reference: Sahih al-Bukhari 3738, 3739
[9] Abu Sa’id said, “A man came from al-Bahrayn to the Prophet, may Allah bless him and grant him peace, and greeted him, but the Prophet did not answer him. The man was wearing a gold ring and a silk robe. The man went away in sorrow. He complained to his wife and she said, ‘Perhaps the Messenger of Allah objects to your robe and your ring. Throw them away and then go back.; he did that and then the Prophet returned his greeting. he said, ‘I came to you yesterday and you turned away from me.’ He said, ‘You had a coal of the Fire on your hand.’ He said, ‘I came then with any coals.’ He said, ‘As for what you brought, there is no one who is free from dependence on these stones. But it is the enjoyment of the life of this world.’ He said, ‘What should I make a ring from?’ ‘From silver, brass, or iron,’ he replied.
حَدَّثَنَا عَبْدُ اللهِ بْنُ صَالِحٍ قَالَ: حَدَّثَنِي اللَّيْثُ، عَنْ عَمْرٍو هُوَ ابْنُ الْحَارِثِ، عَنْ بَكْرِ بْنِ سَوَادَةَ، عَنْ أَبِي النَّجِيبِ، عَنْ أَبِي سَعِيدٍ قَالَ: أَقْبَلَ رَجُلٌ مِنَ الْبَحْرَيْنِ إِلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم فَسَلَّمَ عَلَيْهِ، فَلَمْ يَرُدَّ، وَفِي يَدِهِ خَاتَمٌ مِنْ ذَهَبٍ، وَعَلَيْهِ جُبَّةُ حَرِيرٍ، فَانْطَلَقَ الرَّجُلُ مَحْزُونًا، فَشَكَا إِلَى امْرَأَتِهِ، فَقَالَتْ: لَعَلَّ بِرَسُولِ اللهِ صلى الله عليه وسلم وَجِبَّتَكَ وَخَاتَمَكَ، فَأَلْقِهِمَا ثُمَّ عُدْ، فَفَعَلَ، فَرَدَّ السَّلاَمَ، فَقَالَ: جِئْتُكَ آنِفًا فَأَعْرَضْتَ عَنِّي؟ قَالَ: كَانَ فِي يَدِكَ جَمْرٌ مِنْ نَارٍ، فَقَالَ: لَقَدْ جِئْتُ إِذًا بِجَمْرٍ كَثِيرٍ، قَالَ: إِنَّ مَا جِئْتَ بِهِ لَيْسَ بِأَجْزَأَ عَنَّا مِنْ حِجَارَةِ الْحَرَّةِ، وَلَكِنَّهُ مَتَاعُ الْحَيَاةِ الدُّنْيَا، قَالَ: فَبِمَاذَا أَتَخَتَّمُ بِهِ؟ قَالَ: بِحَلْقَةٍ مِنْ وَرِقٍ، أَوْ صُفْرٍ، أَوْ حَدِيدٍ.
Reference: Al-Adab Al-Mufrad 1022
[11] It was narrated that ‘Ubadah bin Samit said: “I asked the Messenger of Allah (saw) the about the Saying of Allah, Glorious is He: ‘For them are glad tidings, in the life of the present world, and in the Hereafter.”[10:64] He said: ‘Those are good dreams that a Muslim sees or are seen about him.’”
حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ مُحَمَّدٍ ، حَدَّثَنَا وَكِيعٌ ، عَنْ عَلِيِّ بْنِ الْمُبَارَكِ ، عَنْ يَحْيَى بْنِ أَبِي كَثِيرٍ ، عَنْ أَبِي سَلَمَةَ ، عَنْ عُبَادَةَ بْنِ الصَّامِتِ ، قَالَ سَأَلْتُ رَسُولَ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ عَنْ قَوْلِ اللَّهِ سُبْحَانَهُ {لَهُمُ الْبُشْرَى فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَفِي الآخِرَةِ} . قَالَ “ هِيَ الرُّؤْيَا الصَّالِحَةُ يَرَاهَا الْمُسْلِمُ أَوْ تُرَى لَهُ ” .
Grade: Hasan (Darussalam) | Reference: Sunan Ibn Majah 3898
[12] It was narrated that Qais bin ‘Ubad said: “Ammar bin Yasir led the people in prayer and he made the prayer short. It was as if they disliked that, so he said: ‘Did I not do bowing and prostration properly?’ They said: ‘Yes.’ He said: ‘And I said a supplication that the Prophet (SAW) used to say:Allahumma bi ‘ilmikal-ghaiba wa qudratika ‘alal-khalqi ahini ma ‘alimtal-hayata khairan li, wa tawaffani idha ‘alimtal-wafata khairan li. Allahumma as’aluka khashyataka fil-ghaibi wash-shahadati wa as’aluka kalimatul-aqua fir-rida’i wal ghadab, wa as’alukal-qasda fil faqr wal-ghina, wa as’aluka na’iman la yanfadu wa as’aluka qurrata ainan la tanqati’u wa as’alukar-rida’i ba’dal-qada’i wa as’aluka bardal ‘aishi ba’dal-mawti, wa as’aluka ladhatan-nazari ila wajhika wash-shawqa ila liqa’ika fi fitnatin mudillatin, Allahumma zayyina dizinatil-imani waj’alna hudatan muhtadin (O Allah, by Your knowledge of the unseen and Your power over creation, keep me alive so long as You know that living is good for me and cause me to die when You know that death is better for me. O Allah, cause me to fear You in secret and in public. I ask You to make me true in speech in times of pleasure and of anger. I ask You to make me moderate in times of wealth and poverty. And I ask You for everlasting delight and joy that will never cease. I ask You to make me pleased with that which You have decreed and for an easy life after death. I ask You for the sweetness of looking upon Your face and a longing to meet You in a manner that does not entail a calamity that will bring about harm or a trial that will cause deviation. O Allah, beautify us with the adornment of faith and make us among those who guide and are rightly guided.”
أَخْبَرَنَا عُبَيْدُ اللَّهِ بْنُ سَعْدِ بْنِ إِبْرَاهِيمَ بْنِ سَعْدٍ ، قَالَ حَدَّثَنَا عَمِّي ، قَالَ حَدَّثَنَا شَرِيكٌ ، عَنْ أَبِي هَاشِمٍ الْوَاسِطِيِّ ، عَنْ أَبِي مِجْلَزٍ ، عَنْ قَيْسِ بْنِ عُبَادٍ ، قَالَ صَلَّى عَمَّارُ بْنُ يَاسِرٍ بِالْقَوْمِ صَلاَةً أَخَفَّهَا فَكَأَنَّهُمْ أَنْكَرُوهَا فَقَالَ أَلَمْ أُتِمَّ الرُّكُوعَ وَالسُّجُودَ قَالُوا بَلَى . قَالَ أَمَّا إِنِّي دَعَوْتُ فِيهَا بِدُعَاءٍ كَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم يَدْعُو بِهِ “ اللَّهُمَّ بِعِلْمِكَ الْغَيْبَ وَقُدْرَتِكَ عَلَى الْخَلْقِ أَحْيِنِي مَا عَلِمْتَ الْحَيَاةَ خَيْرًا لِي وَتَوَفَّنِي إِذَا عَلِمْتَ الْوَفَاةَ خَيْرًا لِي وَأَسْأَلُكَ خَشْيَتَكَ فِي الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ وَكَلِمَةَ الإِخْلاَصِ فِي الرِّضَا وَالْغَضَبِ وَأَسْأَلُكَ نَعِيمًا لاَ يَنْفَدُ وَقُرَّةَ عَيْنٍ لاَ تَنْقَطِعُ وَأَسْأَلُكَ الرِّضَاءَ بِالْقَضَاءِ وَبَرْدَ الْعَيْشِ بَعْدَ الْمَوْتِ وَلَذَّةَ النَّظَرِ إِلَى وَجْهِكَ وَالشَّوْقَ إِلَى لِقَائِكَ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ ضَرَّاءَ مُضِرَّةٍ وَفِتْنَةٍ مُضِلَّةٍ اللَّهُمَّ زَيِّنَّا بِزِينَةِ الإِيمَانِ وَاجْعَلْنَا هُدَاةً مُهْتَدِينَ ” .
Grade: Hasan (Darussalam) | Reference: Sunan an-Nasa’i 1306
[13] Abu Huraira reported that Allah’s Messenger (may peace be upon him) used to supplicate (in these words): ” O Allah, set right for me my religion which is the safeguard of my affairs. And set right for me the affairs of my world wherein is my living. And set right for me my Hereafter on which depends my after-life. And make the life for me (a source) of abundance for every good and make my death a source of comfort for me protecting me against every evil.”
حَدَّثَنَا إِبْرَاهِيمُ بْنُ دِينَارٍ ، حَدَّثَنَا أَبُو قَطَنٍ، عَمْرُو بْنُ الْهَيْثَمِ الْقُطَعِيُّ عَنْ عَبْدِ الْعَزِيزِ، بْنِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ أَبِي سَلَمَةَ الْمَاجِشُونِ عَنْ قُدَامَةَ بْنِ مُوسَى ، عَنْ أَبِي صَالِحٍ السَّمَّانِ ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، قَالَ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ” اللَّهُمَّ أَصْلِحْ لِي دِينِيَ الَّذِي هُوَ عِصْمَةُ أَمْرِي وَأَصْلِحْ لِي دُنْيَاىَ الَّتِي فِيهَا مَعَاشِي وَأَصْلِحْ لِي آخِرَتِي الَّتِي فِيهَا مَعَادِي وَاجْعَلِ الْحَيَاةَ زِيَادَةً لِي فِي كُلِّ خَيْرٍ وَاجْعَلِ الْمَوْتَ رَاحَةً لِي مِنْ كُلِّ شَرٍّ ” .
Reference: Sahih Muslim 2720
[16] Musnad Ahmad 2455, https://hadithunlocked.com/ahmad:2455 , Musnad Ahmad 311, https://hadithunlocked.com/ahmad:311 ; Jami At-Tirmizi 3076, https://sunnah.com/tirmidhi/47 – Hasan Sahih by Darussalam,
[17] https://en.wikipedia.org/wiki/Genome_size
[18] https://www.ncbi.nlm.nih.gov/books/NBK53877/ – Human Genome Size
[21] Reference: Sahih Muslim 2638a, https://sunnah.com/muslim:2638a
[23] Quran-ST | 75-22 to Quran-ST | 75-23
[24] Anas reported Allah’s Messenger (ﷺ) as saying: When you go to bed, say: ” Praise is due to Allah Who fed us, provided us drink, sufficed us and provided us with shelter, for many a people there is none to suffice and none to provide shelter.”
حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، حَدَّثَنَا يَزِيدُ بْنُ هَارُونَ، عَنْ حَمَّادِ بْنِ سَلَمَةَ، عَنْ ثَابِتٍ، عَنْ أَنَسٍ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم كَانَ إِذَا أَوَى إِلَى فِرَاشِهِ قَالَ ” الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنَا وَسَقَانَا وَكَفَانَا وَآوَانَا فَكَمْ مِمَّنْ لاَ كَافِيَ لَهُ وَلاَ مُئْوِيَ ” .
Reference: Sahih Muslim 2715
[25] https://phys.org/news/2016-04-modern-dna-reveals-ancient-male.html
[26] https://www.nature.com/articles/ng.3559
[27] Poznik et al. Science 2013 – https://doi.org/10.1126/science.1237619
[28] https://news.asu.edu/content/history-men-%E2%80%94-genetically-speaking
[29] https://www.science.org/doi/10.1126/science.1237619
[30] https://medlineplus.gov/genetics/understanding/inheritance/
[31] https://www.genome.gov/genetics-glossary/Deoxyribonucleic-Acid-DNA
[32] https://kidshealth.org/en/parents/genetics.html
[34] https://sunnah.com/muslim:1468a
[35] https://www.sciencedaily.com/releases/2017/03/211412151953.htm
[36] https://www.ucsf.edu/news/2017/03/106351/researchers-discover-healing-power-rib
[37] https://news.rice.edu/news/2015/method-grows-new-jawbone-rib
[38] https://www.aau.edu/research-scholarship/featured-research-topics/grow-better-jawbone-your-ribs
[39] https://www.sciencedaily.com/releases/2015/08/121012095731.htm
[40] National Human Genome Research Institute (NIH): https://www.genome.gov/genetics-glossary/Sex-Chromosome
[41] Nature Education – Sex Chromosomes:
[42] Wikipedia – Microcell-mediated chromosome transfer:
[43]https://discovery.researcher.life/article/microcell-mediated-chromosome-transfer-research_1c1a2b3c-4d5e-6f7g-8h9i-0j1k2l3m4n5o[5]
[44] Paulis et al., 2020 – Chromosome Transplantation in Human iPSCs – PMC:
[45] (Nature 2023 – https://www.nature.com/articles/s41586-023-05834-x)
