Tafseer Surah Al Baqarah – Part 105

Aoozu Billahi as-Samee al-Aleemi minash Shaitanir Rajeem

Bismillah,…, Alhamdulillahi wahdah was salaatu was salaamu ala man la nabiya ba’adah

Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani yafqahu qauli

As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

Pichle Dars me hum Surah al-Baqarah ki 27wi ayat ki tafseer me do alfaz meethaq aur yaqtaoon par tafseel sunn rahe thay. Aaj ke dars me hum issi ayat ke panchwe lafz ki tafseel jaanenge.

Tarjuma wa Tafseer

Vs. No. 27

الَّذِيۡنَ يَنۡقُضُوۡنَ عَهۡدَ اللّٰهِ مِنۡۢ بَعۡدِ مِيۡثَاقِهٖ وَيَقۡطَعُوۡنَ مَآ اَمَرَ اللّٰهُ بِهٖۤ اَنۡ يُّوۡصَلَ وَيُفۡسِدُوۡنَ فِى الۡاَرۡضِ​ؕ اُولٰٓٮِٕكَ هُمُ الۡخٰسِرُوۡنَ‏

Jo Allah ke (sath kiye huwe) ahad ko, mazboot bandh lene ke baad todh detay hain aur jis cheez ko Allah ne jodnay ka hukum diya usay todh detay hain aur zameen me kharabi ya fasaad ya bigaadh paida kartay hain, yehi log nuqsaan utthane walay hain.

Iss ayat me samajhne ke saat alfaaz me se, 4 alfaaz yanquzoo, a’had meethaq aur yaqtaoon ki tafseer hum sunn chuke hain.

To iss ayat ka panchwa lafz, aur surah al-Fatiha se parrhne ki tarteeb ka lafz number 134, Amara hai.

134. AMAR (They Ordered) ( اَمَرَ ( ا م ر 2:27

Dr. Aneesuddin sahab apni kitab explanatory dictionary of The Holy Quran me likhte hain ke, lafz-e-Amara ka root ya maddah (ا م ر) hai, jis ke maane ‘They ordered’ ya ‘unhone hukum diya’ ke aaye hain. Quran me issi root se banay doosre construction me;

  • Surah an-Nisa me farmaya, Inn (Munafiqeen) ki khusar-phusar me ya unn ki private gossip me se, aksar me koi bhalai nahi hoti,
    • siway ye ke wo koi talqeen kare,
    • sadaqah karne ki ya khairaat karne ya neki karne ya logon ke muamele ko durust karne ki talqeen kare aur
    • jo koi iss tarah posheeda taur par Allah ki khushnoodi ya Allah ki raza hasil karne ke liye kaam karega, to anqareeb Hum usay bohot bada ajr denge.[1]
    • Iss ayat me amara ka matlab talqeen karne ke aaye hain.
  • Surah al-A’raf me, Adam (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ke saamne farishton ko sajda karne ka hukum dene ke baad, jab Iblees ne sajda nahi kiya, to Allah Ta’ala uss se mukhtib ho kar farmaya, jab maine tujh ko hukum diya to kis cheez ne tujhay sajdah karne se roka, uss ne kaha, main uss se behtar hoon, mujhe tu ne aag se banaya aur usay mitti se banaya hai.[2]
    • Iss ayat me hukum dene ke maane aaye hain.
  • Surah ash-Shu’ara me Musa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ke maujezon ko dekh kar, Firaun ne apne ird-gird ke sardaaron se kaha ke, ye to waqeyatan ek mahir jadugar hai,[3]
    • Chahta hai ke, tum ko apne jaadu (ke zor) se tumhare mulk se nikaal de, to tumhari kya rai hai?[4]
    • Iss ayat me rai ya mashware ke maane aaye hain.
  • Surah an-Nisa me Allah Ta’ala farmaate hain ke, Aye logo jo imaan laaye ho, ita’at karo Allah ki, aur ita’at karo Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ki aur ulil amr ki,…[5]
    • Iss ayat me ulil amr aya hai, yani jo log authority me hain, unn ki ita’at karo
    • Ab ye hukumraan ho sakte hain,
    • Ulama ho sakte hain,
    • Ameer ho sakte hain,
    • Ya apni apni field ke mahireen ho sakte hain,
    • Jo mashwara denge, Quran aur Hadith ki roshni me, aur apni field ke ilm ki roshni me,
    • Lekin iss baat ka khayal rakha jaye ke, ulil amr ki ita’at uss waqt tak hogi, jab tak ke wo, Quran aur Hadith ke dayere me reh kar logon ko hukum denge, khair ka hukum denge.
    • Ek hadith me ata hai ke, ye ayat uss waqt nazil huwi, jab Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) kisi sahabi ko ek fauji daste ka ameer banaya.[6]
    • To baat samajh me aati hai ke, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ki hayat-e-tayyaba me, ho sakta hai ke, logon ko aiteraaz ho ke, hum tumhari kaise itteba karenge, to aap (صلى الله عليه وسلم) ne sarbarah ko muqarrar kiya aur uss ke mutabiq wahi nazil ho gayee.
  • Surah aal-Imran me aya hai ke, jung-e-Uhud ke mauqe par jab Musalmano ne dekha ke, unn ka muqabla aisi fauj se hai, jis ki tedaad 3,000 hai aur Musalmano ki apni tedaad 1,000 ki thi jis me se 300 se zyada munafiq jung nahi karne ke liye alag ho gaye hain; iss waqiye ke baare me Allah Ta’ala farmate hain ke,
    • Aye Nabi (صلى الله عليه وسلم) iss muamele me aap ko koi ikhtiyaar nahi ke, Allah unn ki tauba qabool karay ya unhein azaab de, iss liye ke wo zalim hain.[7]
    • Iss ayat me al-Amr ke maane, Muamele ya kaam ke aaye hain.
  • Surah al-Araaf me farmaya ke, Beshak tumhara paalne wala malik Allah hai, jis ne aasmaanon aur zameen ko chhe din me, 6 days me paida kiya,
    • phir arsh par tawazun qayem kiya,
    • wohi raat ko din ka libaas pehnata hai ya raat ko din par dhaamp deta hai ke, wo uss ke peechhay daurrhta chala aata hai,
    • Aur ussi ne sooraj aur chand sitaaron ko paida kiya, sab uss ke hukum ke mutabiq kaam me lagay huwe hain, dekho sab,…, makhlooq bhi ussi ki hai aur hukum bhi ussi ka hai,…[8]
  • Aur Surah ar-Rum me farmaya ke, Aur ussi ki nishaniyon me se hai ke, aasmaan aur zameen uss ke hukum se qayem hain…[9]
  • Surah an-Nisa me farmaya ke, …aur yaad rakho ke Allah ka amr yani uss ka hukum nafiz ho kar rehta hai.[10]
  • Aur Surah al-Ahzaab me farmaya ke, …Allah Ta’ala ka faisla, uss ka hukum ek qata’i tayy shuda faisla hota hai, jaise ke taqdeer likh di gayee ho.[11]
  • Surah as-Sajdah me farmaya ke, Wo aasmaan se zameen tak duniya ke muamelaat ki tadbeer karta hai ya har kaam ka intezaam karta hai…[12]
  • Surah Hud ki aakhri ayat me farmaya ke, Aur aasmaano aur zameen ki chhupi huwi cheezon ka ilm Allah hi ko hai, aur tamam muamelaat ussi ki jaanib lautta diye jaayenge, to ussi ki ibadat karo aur ussi par bharosa rakho,…[13]
  • Surah al-Baqarah me farmaya ke, Wohi aasmano aur zameen ka paida karne wala hai, jab wo koi kaam karna chahta hai to uss ko irshaad farma deta hai ke, hoja to wo ho jata hai.[14]
  • Surah al-Qadr me farmaya, (تَنَزَّلُ الۡمَلٰٓٮِٕكَةُ وَالرُّوۡحُ فِيۡهَا بِاِذۡنِ رَبِّهِمۡ​ۚ مِّنۡ كُلِّ اَمۡرٍ ۛۙ‏)
    • Uss me yani ke Lailatul Qadr me, Ruh al-Ameen yani ke Jibra’eel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) aur Farishte har muamele ke, har kaam ke (intezaam ke) liye apne paalne walay malik ke hukum se utartay hain.[15]
  • Surah al-Qamar me farmaya ke, …har kaam ke honay ka ek waqt aur ek jagah muqarrar hai.[16]
  • Surah at-Talaq me farmaya ke, …jo shakhs Allah se darega, to Allah uss ke kaam me sahoolat paida kar dega.[17]

Iss lafz par jo ahadith aye hain, unn me;

  • Dua-e-Istikhara me, lafz-e-Haza al-Amr aya hai, Sahih al-Bukhari ki hadith, Jabir (رضي الله عنه) farmate hain ke, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) humein har kaam ke liye Istikhara sikaya karte thay, jaise ke woh humein Quran-e-Pak ki surtein sikaya karte thay. Aap (صلى الله عليه وسلم) farmaya karte thay: “Tum mein se koi agar koi kaam karna chahay to usay chahiye ke woh farz namaz ke ilawa do rakat namaz parhe, phir yeh dua kare:
    • Allahumma inni astakhiruka bi’ilmika, wa astaqdiruka biqudratika, wa as’aluka min fadlika-l-‘azim, fa innaka taqdiru wala aqdiru, wa ta’lamu wala a’lamu, wa anta’allamu-l-ghuyub. Allahumma in kunta ta’lamu anna hadha-lamra khairun li fi dini wa ma’ashi wa ‘aqibati `Amri (ya kaha, fi ‘ajili `Amri wa ajilihi) fa-qdurhu li, Wa in kunta ta’lamu anna ha-dha-l-amra sharrun li fi dini wa ma’ashi wa ‘aqibati `Amri (ya kaha, fi ajili `Amri wa ajilihi) fasrifhu ‘anni was-rifni ‘anhu wa aqdur li alkhaira haithu kana, thumma Raddani bihi,
    • Aye Allah! Main tere ilm se bhalai ya khair maangta hoon, aur teri qudrat se taqat maangta hoon, aur tere baday fazl se sawaal karta hoon. Tu qadir hai aur main qadir nahi, Tu jaanta hai aur main nahi jaanta, aur Tu ghayb ko jaanne wala hai.
    • Aye Allah! Agar Tu jaanta hai ke ye kaam (jis ka maine irada kiya hai) mere deen, meri zindagi aur mere anjaam ke liye behtar hai—(ya farmaya: agar ye meri duniya aur aakhirat ke liye behtar hai)—to isay mere liye muqarrar farma yani isay meri taqdeer bana de, isay mere liye aasan bana, aur iss mein mere liye barkat ata farma.
    • Aur agar Tu jaanta hai ke ye kaam mere deen, meri zindagi aur mere anjaam ke liye bura hai—(ya farmaya: agar ye meri duniya aur aakhirat ke liye bura hai)—to isay mujh se door kar de, mujhe iss se door rakh, aur mere liye bhalai muqaddar farma jahan bhi woh ho, aur mujhe uss par raazi farma.
    • Phir aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, iss ke baad apni hajat kya hai, wo bayan karo.[18]
    • Iss dua me hazal amr aya hai, apni jo bhi zaroorat hai, jo bhi kaam hai ke maano me.
  • Bukhari aur Muslim ki muttafiqun alaih hadith, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, Uss Zaat ki Qasam jis ke hath mein meri jaan hai, main sochta hoon ke lakdi jama karne ka hukm doon, phir namaz ka hukm doon aur azaan dene ka hukum doon, phir ek shakhs ko logon ki imamat karne ka hukm doon, phir unn logon ke paas jaoon (jo namaz mein maujood nahi hain) aur unn ke gharon ko aag laga doon.
    • Uss Zaat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai, agar unn mein se koi jaanta ho ke uss ko ek moti haddi ya do achche bhed ke paye milenge to woh Isha ki namaz mein zaroor aata.[19]
    • Iss hadith me amr ke maane hukum dene ke aaye hain.
    • Ek aur hadith me aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, Munafiq ke liye Fajr aur Isha ki namazein bohot bhari hoti hain,
    • Aur agar unhe pata hota ke, iss me kitna ajr hai, to wo masjid ko aate, chahe unhe rengna paday.[20]
  • Sahih al-Bukhari ki hadith, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne chipkali ko marne ka hukum diya.[21]
    • Iss par hum ek dars me tafseel sunn chuke hain.
  • Sahih Muslim ki hadith, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, Imaandaar musalman khazaanchi jisay logon ko dene ka hukm diya gaya ho aur wo uss hukum ko imaandaari se nibhata hai aur uss ka dil khushi se bhara hota hai, aur woh unhi logon ko deta hai jinhe dene ka usay hukm diya gaya ho, to woh bhi sadqa dene walon mein se hai.[22]
  • Sahih al-Bukhari ki hadith me lafz-e-imratu aya hai, jis ke maane hukumat, authority, khilafat ke aaye hain;
    • as-Sa’ib bin Yazid (رضي الله عنه) farmate hain ke, hum sharaab peene walon ko peetta karte thay, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ki zindagi ke dauran aur Abu Bakr (رضي الله عنه) ke daur-e-khilafat me aur Umar (رضي الله عنه) ki khilafat ke shuru hisse me,…[23]
    • Yahan daur-e-khilafat ke liye ye lafz istemaal huwa hai.
  • Sahih al-Bukhari ki ek aur hadith me, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, Allah Ta’ala jis ke sath bhalai chahta hai, usay deen ki samajh ata karta hai.
    • Main to mehez baanttne wala, taqseem karne wala, ya distributor hoon, asal dene wala Allah hai,
    • Ye ummat Allah ke hukum par sabit qadam rahegi aur jo log unn ki mukhalifat karte hain, wo unn ko koi nuqsan nahi pahuncha sakenge, jab tak ke Allah ka hukum (yani ke Qiyamat) na aa jaye.[24]
    • Iss hadith me do waqt Amar Allah aya hai, pehli waqt Allah ke ahkaamat ke liye aur doosri waqt, Allah ka hukum yani qiyamat ke liye.
  • Sahih Muslim ki hadith, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne fauji dasta tayyar kiya aur uss ka ameer ya commander, Usama bin Zayd (رضي الله عنه) ko banaya, to logon ne aiteraaz kiya,
    • jis par Allah ke Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) khade huwe aur farmaya: “Tum uss ke ameer banaye jaane par aitraz karte ho aur iss se pehle tum ne uss ke walid (Zaid (رضي الله عنه) ) ke ameer banaye jaane par bhi aitraz kiya tha.
    • Allah ki qasam, woh (yani ke Zaid (رضي الله عنه)) ameer banne ke qabil thay aur woh mujhe tamam jahan ke logon me sab zyada azeez thay, aur unn ke baad ab Usama (رضي الله عنه) bhi mujhe bohat pyare hain.[25]
  • Bukhari aur Muslim ki hadith, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne ek shakhs ko hukum diya ke, jab wo raat ko sonay ke liye laytte to ye kahe,
    • Aye Allah! Main apne aap ko tere hawale karta hoon, aur
    • Tujh par umeed aur tere khauf ke sath, Apna muamela tere supurd karta hoon,
    • Tere siway na to koi sahara hai, aur na hi koi najaat dene wala hai,
    • Main uss kitab par iman ka iqraar karta hoon jo tu ne nazil ki hai, aur
    • unn Rasoolon me jo tu ne bheje hain.
    • Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, agar tum iss haal me marr gaye, to tumhari maut fitrat-e-islam par hogi.[26]
  • Sahih al-Bukhari ki hadith, Amma Aisha (رضي الله عنها) farmati hain ke, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ki azwaaj me se, main kisi se hasad nahi karti thi, siway Amma Khadija (رضي الله عنها) ke, kyun ke, Allah Ta’ala ne apne nabi (صلى الله عليه وسلم) ko hukum diya tha ke, wo Amma Khadija (رضي الله عنها) ko jannat me ek mahal ki basharat suna dein.[27]
  • Bukhari aur Muslim ki hadith, Ek Musalman aur ek yahoodi ke beech jhagda ho gaya, aur Musalman ne qasam khate huwe kaha, Uss zaat ki qasam jis ne Muhammad (صلى الله عليه وسلم) ko tamam logon par fazeelat di hai…!
    • Aur yahoodi ne kaha, Uss zaat ki qasam jis ne Musa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ko tamam logon par fazeelat di hai, Musalman ne apna hath utthaya aur uss yahoodi ko thappad mara, jo Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ke paas aya aur aap ko bataya Musalman shakhs aur uss ke beech kya muamela huwa,
    • Aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, mujhe Musa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) par fazeelat na do, kyun ke, log (Qiyamat ke din) behosh ho jayenge aur Main sab se pehle hosh me aa’oonga, aur dekhoonga ke Musa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) khade huwe hain aur Allah ke Arsh ka ek pehlu pakday huwe hain.
    • Mujhe nahi maloom ke, wo unn logon me se hain, jo behosh ho chuke hain aur mujh se pehle hosh me aa gaye ya
    • Wo unn logon me se hain, jinhe Allah ne ijazat di behosh na hone ki.[28]
    • Iss hadith me, muamele ke maane aaye hain.
  • Sahih al-Bukhari ki hadith, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne hukum diya ghulamo ko azad karne ke liye, sooraj grahan ke dauran.[29]
  • Bukhari aur Muslim ki hadith, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne ek fauji dasta bheja kisi muhim par, aur uss ka ameer ek ansari sahabi ko banaya (رضي الله عنه),
    • Muhim ke dauran, wo ameer apne sathiyon se naraz huwe aur kehne lagay ke, kya Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne tumhe meri baat manne ka hukum nahi diya tha?
    • Unhone kaha; haan diya tha,
    • Unn ke ameer ne kaha, main tumhe hukum deta hoon ke, lakdiyan jama kar ke aag lagao aur phir uss me kood jao,
    • Chunache, unhone lakdiyan jama ki aur aag laga kar uss me chhalang lagane se pehle ek doosre ki taraf dekhne lagay, aur
    • Unn me se baaz ne kaha ke, hum aag se bachne ke liye Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ki itteba ki thi, ab uss me kaise dakhil honge?
    • Jab wo iss haal me thay, to aag bujh gayi aur unn ke ameer ka ghussa khatam ho gaya,
    • Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) se iss waqaye ki baat batayi gayi, to aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, agar tum uss aag me dakhil ho jaate, to kabhi uss se baher na nikal sakte thay, kyun ke, ita’at sirf khair me hai.[30]
    • To ulil amr ki itteba sirf khair ki cheezon me hogi, jo Quran aur Hadith ke mutabiq ho, na ke, Allah aur uss ke Rasool ki na-farmani me.

Yahan aaj ka dars rok denge. Iss ayat ke doosre alfaaz ki tafseel Next Saturday In Sha Allah sunenge.

Al  hamdulillahi  Rabbil  Alameen

Allahumma  Silli  wa  Sallim  wa  Barik  ala  abdika  wa  rasoolika  wa  sayyidana  Muhammad  wa  ala  aalihi  wa  azwaajihi  wa  barik  wa  sallam

Rabbana  aatina  fid  duniya…

References


[1] Quran-ST | 4-114

[2] Quran-ST | 7-12

[3] Quran-ST | 26-34

[4] Quran-ST | 26-35

[5] Quran-ST | 4-59

[6] Narrated Ibn `Abbas: The Verse: “Obey Allah and Obey the Apostle and those of you (Muslims) who are in authority.” (4.59) was revealed in connection with `Abdullah bin Hudhafa bin Qais bin `Adi’ when the Prophet (ﷺ) appointed him as the commander of a Sariyya (army detachment).

حَدَّثَنَا صَدَقَةُ بْنُ الْفَضْلِ، أَخْبَرَنَا حَجَّاجُ بْنُ مُحَمَّدٍ، عَنِ ابْنِ جُرَيْجٍ، عَنْ يَعْلَى بْنِ مُسْلِمٍ، عَنْ سَعِيدِ بْنِ جُبَيْرٍ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ ـ رضى الله عنهما ـ ‏{‏أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ وَأُولِي الأَمْرِ مِنْكُمْ‏}‏‏.‏ قَالَ نَزَلَتْ فِي عَبْدِ اللَّهِ بْنِ حُذَافَةَ بْنِ قَيْسِ بْنِ عَدِيٍّ، إِذْ بَعَثَهُ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم فِي سَرِيَّةٍ‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 4584

[7] Quran-ST | 3-128

[8] Quran-ST | 7-54

[9] Quran-ST | 30-25

[10] Quran-ST | 4-47

[11] Quran-ST | 33-38

[12] Quran-ST | 32-5

[13] Quran-ST | 11-123

[14] Quran-ST | 2-117

[15] Quran-ST | 97-4

[16] Quran-ST | 54-3

[17] Quran-ST | 65-4

[18] Narrated Jabir: The Prophet used to teach us the Istikhara for each and every matter as he used to teach us the Suras from the Holy Qur’an. (He used to say), “If anyone of you intends to do something, he should offer a two-rak`at prayer other than the obligatory prayer, and then say: ‘Allahumma inni astakhiruka bi’ilmika, wa astaqdiruka biqudratika, wa as’aluka min fadlika-l-‘azim, fa innaka taqdiru wala aqdiru, wa ta’lamu wala a’lamu, wa anta’allamu-l-ghuyub. Allahumma in kunta ta’lamu anna hadha-lamra khairun li fi dini wa ma’ashi wa ‘aqibati `Amri (or said, fi ‘ajili `Amri wa ajilihi) fa-qdurhu li, Wa in kunta ta’lamu anna ha-dha-l-amra sharrun li fi dini wa ma’ashi wa ‘aqibati `Amri (or said, fi ajili `Amri wa ajilihi) fasrifhu ‘anni was-rifni ‘anhu wa aqdur li alkhaira haithu kana, thumma Raddani bihi,” Then he should mention his matter (need).

حَدَّثَنَا مُطَرِّفُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ أَبُو مُصْعَبٍ ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ أَبِي الْمَوَالِ ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ الْمُنْكَدِرِ ، عَنْ جَابِرٍ ـ رضى الله عنه ـ قَالَ كَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم يُعَلِّمُنَا الاِسْتِخَارَةَ فِي الأُمُورِ كُلِّهَا كَالسُّورَةِ مِنَ الْقُرْآنِ ‏”‏ إِذَا هَمَّ بِالأَمْرِ فَلْيَرْكَعْ رَكْعَتَيْنِ، ثُمَّ يَقُولُ اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ، وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ، وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ الْعَظِيمِ، فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلاَ أَقْدِرُ، وَتَعْلَمُ وَلاَ أَعْلَمُ، وَأَنْتَ عَلاَّمُ الْغُيُوبِ، اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ خَيْرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي ـ أَوْ قَالَ عَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ ـ فَاقْدُرْهُ لِي، وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ شَرٌّ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي ـ أَوْ قَالَ فِي عَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ ـ فَاصْرِفْهُ عَنِّي وَاصْرِفْنِي عَنْهُ، وَاقْدُرْ لِيَ الْخَيْرَ حَيْثُ كَانَ، ثُمَّ رَضِّنِي بِهِ‏.‏ وَيُسَمِّي حَاجَتَهُ ‏” ‏‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 6382

[19] Abu Huraira reported God’s Messenger as saying, “By Him in whose hand my soul is, I have thought about giving orders for fuel and having it gathered, then giving orders for prayer and having the adhan called for it, then ordering a man to lead the people, then going off to some people (who are not present at the prayer, as it says in a version) and burning down their houses over them. By Him in whose hand my soul is, if one of them knew he would find a fat meaty bone or two fine sheep’s hoofs, he would attend the Isha prayer.” [Bukhari and Muslim]

وَعَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ” وَالَّذِي نَفْسِي بِيَدِهِ لَقَدْ هَمَمْتُ أَنْ آمُرَ بِحَطَبٍ فَيُحْطَبَ ثُمَّ آمُرَ بِالصَّلَاةِ فَيُؤَذَّنَ لَهَا ثُمَّ آمُرَ رَجُلًا فَيَؤُمَّ النَّاسَ ثُمَّ أُخَالِفَ إِلَى رِجَالٍ. وَفِي رِوَايَةٍ: لَا يَشْهَدُونَ الصَّلَاةَ فَأُحَرِّقَ عَلَيْهِمْ بُيُوتَهُمْ وَالَّذِي نَفْسِي بِيَدِهِ لَوْ يَعْلَمُ أَحَدُهُمْ أَنَّهُ يَجِدُ عَرْقًا سَمِينًا أَوْ مِرْمَاتَيْنِ حَسَنَتَيْنِ لَشَهِدَ الْعِشَاءَ ” . رَوَاهُ الْبُخَارِيُّ وَلمُسلم نَحوه

Grade: Sahih | Reference: Mishkat al-Masabih 1053

[20] Narrated Abu Huraira: The Prophet (saws) said, “No prayer is heavier upon the hypocrites than the Fajr and the `Isha’ prayers and if they knew what is in them (in reward), they would have attended them, even if (it was) crawling.  Certainly, I felt the urge to order the Mu’adh-dhin (call-maker) so that he would pronounce Iqama, then order a man to lead the people (in prayer), then take a flame of fire so that I burn (the houses) upon those who had not left for the prayer yet.”

حَدَّثَنَا عُمَرُ بْنُ حَفْصٍ ، قَالَ حَدَّثَنَا أَبِي قَالَ، حَدَّثَنَا الأَعْمَشُ ، قَالَ حَدَّثَنِي أَبُو صَالِحٍ ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، قَالَ قَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏”‏ لَيْسَ صَلاَةٌ أَثْقَلَ عَلَى الْمُنَافِقِينَ مِنَ الْفَجْرِ وَالْعِشَاءِ، وَلَوْ يَعْلَمُونَ مَا فِيهِمَا لأَتَوْهُمَا وَلَوْ حَبْوًا، لَقَدْ هَمَمْتُ أَنْ آمُرَ الْمُؤَذِّنَ فَيُقِيمَ، ثُمَّ آمُرَ رَجُلاً يَؤُمُّ النَّاسَ، ثُمَّ آخُذَ شُعَلاً مِنْ نَارٍ فَأُحَرِّقَ عَلَى مَنْ لاَ يَخْرُجُ إِلَى الصَّلاَةِ بَعْدُ ‏” ‏‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 657

[21] Narrated Um Sharik: That the Prophet ordered her to kill Salamanders.

حَدَّثَنَا صَدَقَةُ ، أَخْبَرَنَا ابْنُ عُيَيْنَةَ ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الْحَمِيدِ بْنُ جُبَيْرِ بْنِ شَيْبَةَ ، عَنْ سَعِيدِ بْنِ الْمُسَيَّبِ ، أَنَّ أُمَّ شَرِيكٍ ، أَخْبَرَتْهُ أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم أَمَرَهَا بِقَتْلِ الأَوْزَاغِ‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 3307

[22] Abu Musa reported Allah’s Apostle (may peace be upon him) as saying: The honest Muslim trustee who spends (sometimes he said” who gives” ) what he is commanded to do and he gives that in full with his heart overflowing with cheerfulness and he gives it to one to whom he is ordered, he is one of the givers of charity.

حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ ، وَأَبُو عَامِرٍ الأَشْعَرِيُّ وَابْنُ نُمَيْرٍ وَأَبُو كُرَيْبٍ كُلُّهُمْ عَنْ أَبِي أُسَامَةَ ، – قَالَ أَبُو عَامِرٍ حَدَّثَنَا أَبُو أُسَامَةَ، – حَدَّثَنَا بُرَيْدٌ ، عَنْ جَدِّهِ أَبِي بُرْدَةَ ، عَنْ أَبِي مُوسَى ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏”‏ إِنَّ الْخَازِنَ الْمُسْلِمَ الأَمِينَ الَّذِي يُنْفِذُ – وَرُبَّمَا قَالَ يُعْطِي – مَا أُمِرَ بِهِ فَيُعْطِيهِ كَامِلاً مُوَفَّرًا طَيِّبَةً بِهِ نَفْسُهُ فَيَدْفَعُهُ إِلَى الَّذِي أُمِرَ لَهُ بِهِ – أَحَدُ الْمُتَصَدِّقَيْنِ ‏” ‏ ‏.‏

Reference: Sahih Muslim 1023

[23] Narrated As-Sa’ib bin Yazid: We used to strike the drunks with our hands, shoes, clothes (by twisting it into the shape of lashes) during the lifetime of the Prophet, Abu Bakr and the early part of `Umar’s caliphate. But during the last period of `Umar’s caliphate, he used to give the drunk forty lashes; and when drunks became mischievous and disobedient, he used to scourge them eighty lashes.

حَدَّثَنَا مَكِّيُّ بْنُ إِبْرَاهِيمَ ، عَنِ الْجُعَيْدِ ، عَنْ يَزِيدَ بْنِ خُصَيْفَةَ ، عَنِ السَّائِبِ بْنِ يَزِيدَ ، قَالَ كُنَّا نُؤْتَى بِالشَّارِبِ عَلَى عَهْدِ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم وَإِمْرَةِ أَبِي بَكْرٍ وَصَدْرًا مِنْ خِلاَفَةِ عُمَرَ، فَنَقُومُ إِلَيْهِ بِأَيْدِينَا وَنِعَالِنَا وَأَرْدِيَتِنَا، حَتَّى كَانَ آخِرُ إِمْرَةِ عُمَرَ، فَجَلَدَ أَرْبَعِينَ، حَتَّى إِذَا عَتَوْا وَفَسَقُوا جَلَدَ ثَمَانِينَ‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 6779

[24] Narrated Muawiya: I heard Allah’s Apostle saying, “If Allah wants to do good to a person, He makes him comprehend the religion. I am just a distributor, but the grant is from Allah. (And remember) that this nation (true

Muslims) will keep on following Allah’s teachings strictly and they will not be harmed by any one going on a different path till Allah’s order (Day of Judgment) is established.”

حَدَّثَنَا سَعِيدُ بْنُ عُفَيْرٍ ، قَالَ حَدَّثَنَا ابْنُ وَهْبٍ ، عَنْ يُونُسَ ، عَنِ ابْنِ شِهَابٍ ، قَالَ قَالَ حُمَيْدُ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ سَمِعْتُ مُعَاوِيَةَ ، خَطِيبًا يَقُولُ سَمِعْتُ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏”‏ مَنْ يُرِدِ اللَّهُ بِهِ خَيْرًا يُفَقِّهْهُ فِي الدِّينِ، وَإِنَّمَا أَنَا قَاسِمٌ وَاللَّهُ يُعْطِي، وَلَنْ تَزَالَ هَذِهِ الأُمَّةُ قَائِمَةً عَلَى أَمْرِ اللَّهِ لاَ يَضُرُّهُمْ مَنْ خَالَفَهُمْ حَتَّى يَأْتِيَ أَمْرُ اللَّهِ ‏” ‏‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 71

[25] Ibn ‘Umar reported that Allah’s Messenger (may peace be upon him) sent an expedition and appointed Usama b. Zaid as its chief. The people objected to his command, whereupon Allah’s Messenger (may peace be upon him) stood up and said: You object to his command and before this you objected to the command of his father (Zaid). By Allah, he was fit as the commander and he was one of the dearest of persons to me and after him, behold! this one (Usama) is one of the dearest of persons to me.

حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ يَحْيَى ، وَيَحْيَى بْنُ أَيُّوبَ ، وَقُتَيْبَةُ ، وَابْنُ، حُجْرٍ قَالَ يَحْيَى بْنُ يَحْيَى أَخْبَرَنَا وَقَالَ الآخَرُونَ، حَدَّثَنَا – إِسْمَاعِيلُ، – يَعْنُونَ ابْنَ جَعْفَرٍ – عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ دِينَارٍ ، أَنَّهُ سَمِعَ ابْنَ عُمَرَ ، يَقُولُ بَعَثَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم بَعْثًا وَأَمَّرَ عَلَيْهِمْ أُسَامَةَ بْنَ زَيْدٍ فَطَعَنَ النَّاسُ فِي إِمْرَتِهِ فَقَامَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فَقَالَ ‏”‏ إِنْ تَطْعَنُوا فِي إِمْرَتِهِ فَقَدْ كُنْتُمْ تَطْعَنُونَ فِي إِمْرَةِ أَبِيهِ مِنْ قَبْلُ وَايْمُ اللَّهِ إِنْ كَانَ لَخَلِيقًا لِلإِمْرَةِ وَإِنْ كَانَ لَمِنْ أَحَبِّ النَّاسِ إِلَىَّ وَإِنَّ هَذَا لَمِنْ أَحَبِّ النَّاسِ إِلَىَّ بَعْدَهُ ‏” ‏ ‏.‏

Reference: Sahih Muslim 2426a

[26] Al-Bara’ b. ‘Azib reported that Allah’s Messenger (in may peace be upon him) commanded a person (in these words): When you go to bed during night, you should say:” O Allah, I surrender myself to Thee and entrust my affair to Thee, with hope in Thee and fear of Thee. There is no resort and no deliverer (from hardship but Thou). I affirm my faith in the Book which Thou revealed and in the Messengers whom Thou sent.” If you die in this state you would die on Fitra, and Ibn Bashshdr did not make a mention of” night” in this hadith.

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ الْمُثَنَّى ، حَدَّثَنَا أَبُو دَاوُدَ ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ ، ح وَحَدَّثَنَا ابْنُ بَشَّارٍ ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ ، وَأَبُو دَاوُدَ قَالاَ حَدَّثَنَا شُعْبَةُ ، عَنْ عَمْرِو بْنِ مُرَّةَ ، قَالَ سَمِعْتُ سَعْدَ بْنَ عُبَيْدَةَ ، يُحَدِّثُ عَنِ الْبَرَاءِ بْنِ عَازِبٍ ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم أَمَرَ رَجُلاً إِذَا أَخَذَ مَضْجَعَهُ مِنَ اللَّيْلِ أَنْ يَقُولَ ‏”‏ اللَّهُمَّ أَسْلَمْتُ نَفْسِي إِلَيْكَ وَوَجَّهْتُ وَجْهِي إِلَيْكَ وَأَلْجَأْتُ ظَهْرِي إِلَيْكَ وَفَوَّضْتُ أَمْرِي إِلَيْكَ رَغْبَةً وَرَهْبَةً إِلَيْكَ لاَ مَلْجَأَ وَلاَ مَنْجَا مِنْكَ إِلاَّ إِلَيْكَ آمَنْتُ بِكِتَابِكَ الَّذِي أَنْزَلْتَ وَبِرَسُولِكَ الَّذِي أَرْسَلْتَ ‏.‏ فَإِنْ مَاتَ مَاتَ عَلَى الْفِطْرَةِ ‏” ‏ ‏.‏ وَلَمْ يَذْكُرِ ابْنُ بَشَّارٍ فِي حَدِيثِهِ مِنَ اللَّيْلِ ‏.‏

Reference: Sahih Muslim 2710c

[27] Narrated `Aisha: I never felt so jealous of any woman as I felt of Khadija, for Allah ordered him (the Prophet ) to give Khadija the glad tidings of a palace in Paradise (for her).

حَدَّثَنَا عُبَيْدُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ ، حَدَّثَنَا أَبُو أُسَامَةَ ، عَنْ هِشَامٍ ، عَنْ أَبِيهِ ، عَنْ عَائِشَةَ ـ رضى الله عنها ـ قَالَتْ مَا غِرْتُ عَلَى امْرَأَةٍ مَا غِرْتُ عَلَى خَدِيجَةَ، وَلَقَدْ أَمَرَهُ رَبُّهُ أَنْ يُبَشِّرَهَا بِبَيْتٍ فِي الْجَنَّةِ‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 7484

[28] Narrated Abu Huraira: A Muslim and a Jew quarreled. The Muslim taking an oath, said, “By Him Who has preferred Muhammad over all people…!” The Jew said, “By Him Who has preferred Moses, over all people.” The Muslim raised his hand and slapped the Jew who came to the Prophet to tell him what had happened between him and the Muslim. The Prophet said, “Don’t give me superiority over Moses, for the people will become unconscious (on the Day of Resurrection) and I will be the first to gain consciousness to see Moses standing and holding a side of Allah’s Throne. I will not know if he has been among those people who have become unconscious; and that he has gained consciousness before me, or he has been amongst those whom Allah has exempted.”

حَدَّثَنَا أَبُو الْيَمَانِ ، أَخْبَرَنَا شُعَيْبٌ ، عَنِ الزُّهْرِيِّ ، قَالَ أَخْبَرَنِي أَبُو سَلَمَةَ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ ، وَسَعِيدُ بْنُ الْمُسَيَّبِ ، أَنَّ أَبَا هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ قَالَ اسْتَبَّ رَجُلٌ مِنَ الْمُسْلِمِينَ وَرَجُلٌ مِنَ الْيَهُودِ‏.‏ فَقَالَ الْمُسْلِمُ وَالَّذِي اصْطَفَى مُحَمَّدًا صلى الله عليه وسلم عَلَى الْعَالَمِينَ‏.‏ فِي قَسَمٍ يُقْسِمُ بِهِ‏.‏ فَقَالَ الْيَهُودِيُّ وَالَّذِي اصْطَفَى مُوسَى عَلَى الْعَالَمِينَ‏.‏ فَرَفَعَ الْمُسْلِمُ عِنْدَ ذَلِكَ يَدَهُ، فَلَطَمَ الْيَهُودِيَّ، فَذَهَبَ الْيَهُودِيُّ إِلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم فَأَخْبَرَهُ الَّذِي كَانَ مِنْ أَمْرِهِ وَأَمْرِ الْمُسْلِمِ فَقَالَ ‏”‏ لاَ تُخَيِّرُونِي عَلَى مُوسَى، فَإِنَّ النَّاسَ يَصْعَقُونَ فَأَكُونُ أَوَّلَ مَنْ يُفِيقُ، فَإِذَا مُوسَى بَاطِشٌ بِجَانِبِ الْعَرْشِ، فَلاَ أَدْرِي أَكَانَ فِيمَنْ صَعِقَ فَأَفَاقَ قَبْلِي أَوْ كَانَ مِمَّنِ اسْتَثْنَى اللَّهُ ‏” ‏‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 3408

[29] Narrated Asma: No doubt the Prophet ordered people to manumit slaves during the solar eclipse.

حَدَّثَنَا رَبِيعُ بْنُ يَحْيَى ، قَالَ حَدَّثَنَا زَائِدَةُ ، عَنْ هِشَامٍ ، عَنْ فَاطِمَةَ ، عَنْ أَسْمَاءَ ، قَالَتْ لَقَدْ أَمَرَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم بِالْعَتَاقَةِ فِي كُسُوفِ الشَّمْسِ‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 1054

[30] Narrated `Ali: The Prophet sent an army unit (for some campaign) and appointed a man from the Ansar as its commander and ordered them (the soldiers) to obey him. (During the campaign) he became angry with them and said, “Didn’t the Prophet order you to obey me?” They said, “Yes.” He said, “I order you to collect wood and make a fire and then throw yourselves into it.” So they collected wood and made a fire, but when they were about to throw themselves into, it they started looking at each other, and some of them said, “We followed the Prophet to escape from the fire. How should we enter it now?” So while they were in that state, the fire extinguished and their commander’s anger abated. The event was mentioned to the Prophet and he said, “If they had entered it (the fire) they would never have come out of it, for obedience is required only in what is good.” (See Hadith No. 629. Vol. 5)

حَدَّثَنَا عُمَرُ بْنُ حَفْصِ بْنِ غِيَاثٍ ، حَدَّثَنَا أَبِي ، حَدَّثَنَا الأَعْمَشُ ، حَدَّثَنَا سَعْدُ بْنُ عُبَيْدَةَ ، عَنْ أَبِي عَبْدِ الرَّحْمَنِ ، عَنْ عَلِيٍّ ـ رضى الله عنه ـ قَالَ بَعَثَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم سَرِيَّةً، وَأَمَّرَ عَلَيْهِمْ رَجُلاً مِنَ الأَنْصَارِ وَأَمَرَهُمْ أَنْ يُطِيعُوهُ، فَغَضِبَ عَلَيْهِمْ وَقَالَ أَلَيْسَ قَدْ أَمَرَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم أَنَّ تُطِيعُونِي قَالُوا بَلَى‏.‏ قَالَ عَزَمْتُ عَلَيْكُمْ لَمَا جَمَعْتُمْ حَطَبًا وَأَوْقَدْتُمْ نَارًا، ثُمَّ دَخَلْتُمْ فِيهَا، فَجَمَعُوا حَطَبًا فَأَوْقَدُوا، فَلَمَّا هَمُّوا بِالدُّخُولِ فَقَامَ يَنْظُرُ بَعْضُهُمْ إِلَى بَعْضٍ، قَالَ بَعْضُهُمْ إِنَّمَا تَبِعْنَا النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم فِرَارًا مِنَ النَّارِ، أَفَنَدْخُلُهَا، فَبَيْنَمَا هُمْ كَذَلِكَ إِذْ خَمَدَتِ النَّارُ، وَسَكَنَ غَضَبُهُ، فَذُكِرَ لِلنَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم فَقَالَ ‏”‏ لَوْ دَخَلُوهَا مَا خَرَجُوا مِنْهَا أَبَدًا، إِنَّمَا الطَّاعَةُ فِي الْمَعْرُوفِ ‏” ‏‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 7145

Comments are closed.