Aoozu Billahi as-Samee al-Aleemi minash Shaitanir Rajeem
Bismillah,…, Alhamdulillahi wahdah was salaatu was salaamu ala man la nabiya ba’adah
Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani yafqahu qauli
As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu
Pichle Dars me hum Surah al-Baqarah ki 28wi ayat ki tafseer me teesre stage Phir Tumhe Maar dega ki tafseel sunn rahe thay. Aaj ke dars me hum iss ayat ki tafseel aagay jaanenge.
Tarjuma wa Tafseer
Vs. No. 28 Cont’d…
كَيۡفَ تَكۡفُرُوۡنَ بِاللّٰهِ وَڪُنۡتُمۡ اَمۡوَاتًا فَاَحۡيَاکُمۡۚ ثُمَّ يُمِيۡتُكُمۡ ثُمَّ يُحۡيِيۡكُمۡ ثُمَّ اِلَيۡهِ تُرۡجَعُوۡنَ
Tum kaise kufr karte ho Allah ka, halanke tum murda thay phir uss ne tumhe zindah kiya, phir wo tumhe maarega phir tumhe zinda karega phir tum ussi ki taraf lautta diye jaoge.
4 STAGES KI HAQEEQAT — HUM KYA THAY, KYA HAIN, KYA HO JAYENGE…
Maut aur zindagi ke 4 stages ki haqeeqat me, hum kya thay, kya hain, aur kya ho jayenge ke 3 stages sunn chuke hai,
STAGE 4: Summa Yuhyeekum — Phir Dobara Zinda Karega — Doosri Zindagi — Qayamat
Aaj chohte stage Summa Yuhyeekum, phir dobara zinda karega ki tafseel ko humne do hisson me baantta hai, ye doosri zindagi hogi, qiyamat qayem honay ke baad ki zindagi, aakhirat ki zindagi.
Abdullah ibn Abbas (رضي الله عنه) – jinhe Turjuman-ul-Quran (yani Quran ko interpret karne walay) aur Hibr al-Ummah (Iss Ummat ke aalim) jaise laqab se jana jaata hai, jo Quran ke sab se pehle mufassir rahay hain – unhone Surah Baqarah iss ayat ki tafseer Surah Ghafir ki 11wi ayat se ki hai:
قَالُوا رَبَّنَا أَمَتَّنَا اثْنَتَيْنِ وَأَحْيَيْتَنَا اثْنَتَيْنِ
Wo kahenge ke, Aye hamare Rab! Tu ne humein do baar maut di aur do baar zindagi di…[1]
Ibn Abbas (رضي الله عنه) farmate hain – Aas ibn Wail ek sadhi-gali haddi lekar Rasool Allah (صلى الله عليه وسلم) ke paas aaya, uss ko haath me masal kar bola:
- Aye Muhammad,…, (صلى الله عليه وسلم), kya Allah iss haddi ko dobara zinda karega jab ye choora ban chuki hai? Aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya: Haan, Allah iss ko zinda karega, phir tumhe maut dega, phir zinda karega, phir Jahannam me daakhil karega. Tab ye ayat nazil hui:[2]
- Kya insaan ne nahi dekha ke Hum ne uss ko nutfe se paida kiya, phir wo khula jhagadne laga,[3]
- Aur hamare baray me, misaalein bayan karne laga aur apni paidaish ko bhool gaya, kehne laga ke jab haddiyan boseedah ho jayengi to inn ko kaun zinda karega?[4]
- Aye Nabi (صلى الله عليه وسلم)! Aap Keh dijiye ke, unn ko wohi zinda karega jiss ne unn ko pehli baar paida kiya tha, aur Wo har qism ka paida karne wala hai.[5]
- Jis ne tumhare liye hare bhare darakht se aag paida ki, phir tum uss ki ttehniyon ko ragad kar unn ke aag nikaalte ho.[6]
- Bukhari ki ek hadith me, Ibn Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) farmate hain, Rasoolullah (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ne khutba diya, Tumhe Qiyamat ke din, nange paaon, barhana kaifiyat me, aur bina khatna shuda halat me jama kiya jayega, jaisa ke Allah Ta’ala farmata hai, Jis tarah Hum ne pehli baar takhleeq ka aghaaz kiya tha, ussi tarah Hum usay dobarah dohrayenge [Surah al-Anbiya, 21: Ayat# 104 unhone yahan tilawat ki].[7]
- Surah at-Taghabun me Allah Ta’ala farmate hain ke, jo log kafir hain unn ka ye aiteqaad hai ke, wo dobarah hargiz nahi utthaye jayenge, Aye Nabi (صلى الله عليه وسلم)! Aap ke dijiye, kyun nahi! Mujhe mere Rabb ki qasam tum laziman utthaye jaoge, phir jo kaam tum karte rahe ho, wo tumhe bataye jayenge aur ye baat Allah ke liye asaan hai.[8]
- Sahih al-Bukhari ki hadith-e-qudsi hai, Allah Ta’ala farmate hain ke, Ibn-e-Adam ne Mujhe jhuttlaya – halanke uss ko aisa nahi karna chahiye tha aur wo mujh se kufr karta hai, halanke usay aisa nahi karna chahiye,
- Uss ka jhoothlana ye hai ke wo kehta hai ke, Mera koi betta hai,
- Aur uss ka kufr karna ye hai ke, main usay dobarah paida nahi karoonga jaise pehli baar paida kiya tha.[9]
- Phir Surah Jathiya me farmaya, aur wo kehte hain ke, hamari zindagi to bas duniya hi ki zindagi hai, hum yahin marte hain aur jeete hain aur humein to zamana maar deta hai…[10]
- Pehli baar jab kuch bhi nahi tha, there was absolutely nothing, be-jaan zarron se humay bana diya – ab jo hamara DNA, hamari haddiyan, hamara record mehfooz hai, to dobara banana kaunsa mushkil kaam hai? Pehli baar mushkil tha, dusri baar to aur aasaan hai.
- Hamare ustad iss dobara paida kiye jaane par, ek misaal diya karte thay ke, jab aap ki betti pehli baar rotti banayi, to dekh kar khushi huwi hogi, aur agar aap uss se poochhenge ke ab doosri baar rotti kaise banaogi, to wo kahegi ke, abba jaan, pehli baar jaise banaya tha waise hi bana loongi.
- Yani ke ye itni aam aur mamooli baat hai, jo ek bacchi ke bhi samajh me aati hai ke, pehli baar kisi cheez ko banana mushkil hota hai aur doosri baar banana, bohot asan.
Phir Bukhair aur Muslim ki hadith, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) iss kayenaat ke khatam honay aur dobara paida kiye jaane ke baare me farmaya,
- do soor phooke jaane ke beech 40 ka farq hai,
- Aur farmaya, Ibn-e-Adam ke har hisse ko mitti kha jayegi siwaye ek chhotti si haddi ke, (coccyx, tailbone ki baat ho rahi hai yahan par, jisay Arabi me Ajb-uz-Zanab kehte hain). Ussi se insaani jism ko paida kiya jayega.[11]
- Inn ahadith me 3 dawe hain. Inn ko science ki roshni me analyze karte hain.
- Pehla Daawa khaas taur par Sahih Muslim ke ek version me ye alfaaz hain: MINHU KHULIQA – Ussi se paida kiya gaya tha.
- Doosra Daawa: FEEHI YURAKKAB – Ussi se dobara paida kiya jayega.
- Teesra Daawa: ILLA AJB-UZ-ZANAB – Mitti uss ko nahi khayegi aur issi liye ussi se dobara recreate kiya jayega.
- Ab yahan ek zaroori baat ye batana hai ke, Science Ajb-uz-Zanab ko “kabhi na galne wali haddi” nahi balke ye sab se ahem jagah batati hai.
- Inn dono me Farq hai, aur iss farq ko samajhne ki koshish karte hain.
To inn baaton ke dalail kya hain?
Inn ahadith me Teen daawe hain, aur Teen daleelein aap ke saamne rakhna chahta hoon;
DALEEL 1: MINHU KHULIQA – Ussi se banaya gaya hai
- Reerrh ki haddi ke aakhri hisse ke uss chhotte se zarre se hume banaya gaya hai.
- Science Kehti Hai Insan Waqai Wahan Se Banta Hai, hum maa ke pet me kaise bante hain, iss ki tafseel hum sunn chuke hain, yahan mukhtasar sa hissa dohrana zaroori hai,
- Science kehti hai, pehle din aap sirf ek cell thay. 14 din baad aap ke jism par ek lakeer banti hai, iss ko Primitive Streak kehte hain, jaisa ke Professor Keith L. Moore ne apni kitab ‘The Developing Human’ me Qurani ayaat ko samjhaate huwe bayan kiya hai, aur jo modern embryology ki pehli kitab maani jaati hai.[12]
- Ye lakeer kahan banti hai?
- Hamari kamar ke aakhri hisse me, jahan aaj coccyx hai ya tailbone bhi jisay hum kehte hain.
- Isi lakeer se hamara poora jism banta hai — haddiyan, gosht, dil, dimagh — sab kuch.
- Ab iss hadith ke alfaaz yaad kijiye — MINHU KHULIQA — ussi se paida kiya gaya hai.
- 1450 saal pehle kisi ko ye pata tha ke insan coccyx wali jagah se banta hai?
DALEEL 2: WA FEEHI YURAKKABU – Ussi se dobarah banaya jayega
- 1935 CE me Hans Spemann ko Nobel Prize mila, uss ne mendak par tajurba kiya.[13]
- Uss ne dekha, mendak ke embryo me ek chota sa hissa hai — Organizer. Agar aap iss hisse ko kaat kar doosre embryo me laga do, to doosra poora mendak ban jayega.
- Ye organizer kahan hota hai?
- Ye wahin Primitive Streak me, wohi Ajb-uz-Zanab wali jagah me.
- Sciencedaano ne, isay naam diya Spemann-Mangold Organizer. Yani poore jism ko banane ka commander.
- Phir uss hadith ke alfaaz ko yaad kijiye, FEEHI YURAKKABU ya MINHU YURKKABU AL-KHALQ — ussi se dobara insaani jism ki tarkeeb ki jayegi.
DALEEL 3: ILLA AJB-AZ-ZANAB – Siway Reerrh ki Haddi ke Chhotte se Hisse ke
Ab sawal ye hai ke — Mitti Kyun Nahi Khati reerrh ki haddi ke uss hisse ko? Kya coccyx ka wo hissa waqai nahi galta?
Sahih Ibn Hibban ki ek hadith me aap (صلى الله عليه وسلم) se poochha gaya ke, kya cheez hai ye ajb-uz-zanab, to aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ye, rai ke daane ke barabar wo cheez hai.[14]
- Ye wo cheez hai, jo na sadti hai aur na galti hai.
- Hamara iman to ye bhi hai ke, wo jalane se jalti nahi.
- Kyun ke Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne keh diya ke iss haddi se dobara insaan ko paida kiya jayega.
- Hamare ustaad kaha karte thay ke, tailbone me aisi cheezen maujood hain jis se poore ka poora jism banaya ja sakta hai, aur hawale ke taur par wo mendak ki misaal bayan karte thay ke, tailbone ke hisse se sciencedaano ne ek poora ka poora mendak bana liya hai.
- Lekin, aaj hum dekh rahe hain ke, science unn tamam cheezon ko jo pehle Quran aur Hadith ke tabay samajhte thay, taqreeban unn tamam cheezon ko disprove karne me lagi huwi hai.
- Islamweb par, issi sawal ke jawab me unhone likha ke, iss hadith ka zahiri mafhoom yehi hai ke, reerrh ki haddi ke nichle siray (Ajb-uz-Zanab) ka ek intehayi chhotta sa hissa, boseeda nahi hota. Qabron me logon ko iss hisse ka na milna iss ke bar-aks hone ki daleel nahi banta, kyun ke, ye bohot hi mamooli aur chhotta sa hissa hota hai.[15]
- Islamweb ki iss baat ko analyze karenge, to ye samajh me aata hai ke, disintegrate honay ke baad, rai ke daane ke barabar ki koi cheez agar baaqi reh jaye to na to qabar me dekhne se samajh me ayegi aur na ye tayy pa sakta hai ke itni bareek cheez baqi hai bhi ke nahi. Kyun ke, rai ka dana size me 1mm se 2mm ke beech hota hai,[16] aur jo coccyx ka jo aakhri hissa hai, uss ki bhi tip aap keh lein — jo rai ke daane ke barabar ho sakti hai — poori coccyx ki length vary karti hai ek insaan se doosre insaan me, 25 to 40mm ki length hoti hai, uss ka aakhri hissa ki nok keh sakte hain.[17]
- Science ki rooh se agar dekhenge to, iss mamele me koi research to huwi nahi hai, ke shartiya taur par ye bataya ja sakay ya hadith me jo aya hai, uss ko compare kar sakay.
- To kya rai ke daane ke barabar reerrh ki haddi ka hissa bach sakta hai decompose honay ke baad? Kyun nahi, zaroor baaqi reh sakta hai, ye ek possibility hai.
- Kya ye mumkin hai ke reerrh ki haddi ka ye zarra decompose na ho?
- Science iss mamele me kuch keh nahi sakti, kyun ke, kisi ne isay analyze hi nahi kiya, iss par research ho sakti hai.
- Beher-haal, science me proof nahi hone ka matlab ye nahi hai ke, proof hai hi nahi.
- Hamara iman to hai ke Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne keh diya ke insaan iss se ugenge Qiyamat ke din to ugg kar rahenge. Science abhi itni taraqqi nahi ki hai ke iss par aur zyada roshni daal sakay.
Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne 1450 saal pehle bina microscope ke, bina lab ke, bina embryology ke farmaya:
- Insan Ajb-uz-Zanab se banta hai — Science ne 20wi sadi me mana – Primitive Streak se banta hai.
- Usi me dobara joda jayega — Science ne 1935 me mana – Organizer me poora jism banane ki taqat hai.
- Mitti uss ko nahi khati — Science abhi itni taraqqi nahi ki hai, iss sawal ka jawab dene ke liye.
Kya ye ittefaq hai?
Surah YaaSeen me Allah Ta’ala ne jo farmaaya ke: Aye Nabi (صلى الله عليه وسلم)! Aap keh dijiye ke, unn ko wohi zinda karega jis ne unhein pehli martaba paida kiya tha, aur wo har makhlooq ka mukammal ilm rakhne wala hai.[18]
Nahi, ye ittefaaq nahi hai, kyun ke, hum daleelon se batayenge ke Qiyamat ka aana, kyun zaroori hai, 6 points ke is analysis me se aaj hum 2 analysis bayan karenge…
POINT 1: KAFIR KAUN HAI? AUR 4TH STAGE KA INKAR, KUFR KYUN HAI?
Jaisa ke humne abhi suna ke, Quran mein Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) farmate hain, Surah at-Taghabun me ke,
زَعَمَ الَّذِيۡنَ كَفَرُوۡۤا اَنۡ لَّنۡ يُّبۡـعَـثُـوۡا ؕ قُلۡ بَلٰى وَرَبِّىۡ لَـتُبۡـعَـثُـنَّ ثُمَّ لَـتُنَـبَّـؤُنَّ بِمَا عَمِلۡـتُمۡؕ…
- Kafiron ka aiteqaad hai ke wo (dobarah) hargiz zinda nahi kiye jayenge, Aye Nabi (صلى الله عليه وسلم) keh dijiye: Kyun Nahi! Mujhe mere paalne walay Malik ki qasam, tum zaroor utthaye jaoge…[19]
- Aur jo log Dahriye hain — jo sirf duniya ko maante hain — Quran ne unn ka aqeeda yun bayan kiya:
وَقَالُوۡا مَا ہِیَ اِلَّا حَیَاتُنَا الدُّنۡیَا نَمُوۡتُ وَنَحۡیَا وَمَا یُہۡلِکُنَاۤ اِلَّا الدَّہۡرُ
- Aur wo kehte hain ke: hamari zindagi to sirf duniya hi ki zindagi hai, (yahin) hum marte aur jeete hain aur hume to zamana halak karta hai…[20]
- Jab sirf zamana halak karta hai, to ye samajhte hain ke koi hisab kitab hi nahi hoga — to jo chahe karo. Yehi aaj ka secular moral crisis hai.
- Kufr Ki Do qismein hain:
- Kufr-e-Akbar — Allah, Qayamat, Nabuwwat, Quran ka inkar. Yeh Islam se nikaal deta hai.
- Kufr-e-Asghar — Na-shukri, Ehsaan ka inkar. Yeh bada gunah hai lekin Islam se nahi nikaalta.
- 4th stage ka inkaar, yani Qiyamat ke aanay ka inkaar aur Qiyamat ke liye dobarah recreate kiye jaane ka inkaar, Kufr-e-Akbar hai.
- Lekin — hum aise hi kisi ko kafir nahi keh sakte, Bukhari aur Muslim ki hadith, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya: Agar koi apne Muslim bhai ko Kafir kahe to dono mein se ek par yeh baat zaroor sabit ho jayegi.[21]
- Imam Nawawi (رحمه اللَّه) al-Majmu’ me likhte hain ke: Kisi shakhs par kufr ka fatwa lagana bahut khatarnak kaam hai. Iss mein yaqeen ki zaroorat hai ke wo Allah ki kisi zaruri baat ka inkar kar raha hai — wo bhi jaante bujhte.[22]
- Aaj Ke Daur me 3 Qism ke log hain Musalmano me:
- Pehli qism Dahriyon ki hai, jin ka aqeeda ye hai ke, Ye kayenaat khud se chal rahi hai, Allah Ta’ala ka koi wajood nahi hai, aur na qiyamat ayegi, to aise log Kufr-e-Akbar me mubtala hain. Inhe Dawat dena hamara kaam hai.
- Doosri qism ke log shak me hain, unhe pata nahi qiyamat ayegi ya nahi, to aise log Daleel ke mohtaaj hotay hain, unhe samjhana hamara kaam hai.
- Teesri qism ke log sab kuch maante hain lekin amal nahi karte, qiyamat ki tayyari nahi karte, aise log gunahgaar hain, kafir nahi.[1]
- Yahan apna apna jaiza lena hain hum kahan khaday hain.
POINT 2: KUCH SCIENTIFIC DALEELEIN AARAHI HAIN
Yeh sab daleelein “resurrection ka scientific proof” nahi hain, ye kuch philosophical arguments hain jo “Resurrection is impossible” walay daaway ko ghalat sabit karte hain.
Science ye nahi kehti ke resurrection impossible hai. Science kehti hai: “Humein tareeqa nahi pata, kaise dobarah paida kiye jayenge” aur Surah YaaSeen ki wo ayat jo humne abhi suni, uss me Allah Ta’ala bata rahe hain ke, wo hume waise hi paida karenge jaisa pehli baar paida kiya tha.
Toh chaliye, inn 8 dalail ka jaiza lete hain.
DALEEL NO. 1 — PEHLI ZINDAGI: AAJ TAK LAB MEIN NAHI BANI
Iss daleel ke baray mein hum pichlay dars mein bhi sunn chuke hain, yahan iss liye repeat ho rahi hai, kyun ke, ye daleel dono taraf se kaam karti hai;
- Ek taraf science ki taraqqi dikhati hai ke shayad kuch ummeed bann jaye ke scientist kuch achieve karle aur doosri taraf nakami aur nakami hi dikhayi deti hai,
- 1859 mein Louis Pasteur ne ek research kar ke bata diya ke, zindagi be-jaan se khud nahi banti.[23]
- 1953 mein Miller aur Urey ne koshish ki — lab mein atmosphere banaya, bijli daali. Chand Molecules ban gaye — lekin zinda cell to chhorrhiye, cell banane ke liye jo complex molecules chahiye, wo nahi bann paye.[24]
- Aaj 2026 tak duniya ki sabse advanced labs ke paas Laser Phase Plate Cryo-Electron Microscopes hain,[25] supercomputers hain — lekin be-jaan chemicals se ek single truly living, self-replicating cell ek bhi nahi bana sakay.
- Harvard ke origin-of-life ke researcher, Jack Szostak (Shaws-stahk) ye maante hain ke: “Zindagi kaise shuru huwi par jo sawal hai, itni research ke bawajood, abhi bhi unresolved hai.”[26][2]
- Toh sciencedaan kya kehte hain? Wo Kehte hain ke: “Marne ke baad dobara zinda hona impossible hai.”
- Lekin wohi scientists maante hai ke pehli baar be-jaan mitti se zindagi ban gayi — jo aaj ki sabse advanced laboratories repeat nahi kar pa rahi hai.
- Sonch kar dekhiye, pehli baar — jab na koi blueprint tha, na DNA tha — zindagi ban gayi, to doosri baar — jab blueprint poora maujood hai, jab atoms bikhre huwe hi sahih maujood to hain — to phir insaan ke liye zinda cell ko banana mushkil kyun ho raha hai?
- Aaj hum zinda cell ke andar engineering kar pa rahe hain, Jack Szostak ka yehi kaam hai, cell me ya dna me engineering karna, cut, copy, paste karna, ye to hum kar pa rahe hain.
- Lekin apni marzi se be-jaan chemicals se hum zinda cell nahi bana pa rahe hain,[27]
- Kyun ke, ye control insaan ke hath me, Allah Ta’ala ne nahi diya hai.
- Wo to baday bhai ne apne hi hath me rakha hai…
DALEEL NO. 2 — BIG BANG: ZERO SE SAB KUCH BANA
Yeh poori kayenat 13.8 billion saal pehle ek nukte se bani.
- Uss se pehle kya tha? Kuch nahi. Na matter tha, na energy thi, na space thi, na time tha.
- Bilkul zero se sab kuch nikla. Adam se wajood me aya.
- Sciencedaan kehtay hain: “Maut ke baad wapas ana impossible hai, kyunki science law follow karta hai, magic nahi.”
- Hamare ustad Dr. Anees kaha karte thay ke, Law ko maan liye, lawmaker ko nahi maan rahe hain.
- Lekin phir sawaal yeh paida hota hai ke, agar science law ko follow karti hai — to Big Bang se pehle kaun sa law tha? Kaun sa mechanism tha? Jiss se ye kayenaat paida huwi?
- Iss ka jawab sciencedaano ke paas nahi hai, kyun ke, wo Allah Ta’ala ko nahi manna chahte.
- To agar bina kisi law ke, bina kisi mechanism ke, nothing se poora universe ban sakta hai, to Allah ke liye ek insaan ko dobara banana kyun impossible ho gaya?
وَهُوَ الَّذِي يَبْدَأُ الْخَلْقَ ثُمَّ يُعِيدُهُ وَهُوَ أَهْوَنُ عَلَيْهِ ۚ
- Aur Wohi to hai jo pehli baar paida karta hai makhlooq ko, phir usay dobara bhi paida karega — aur wo uss ke liye bohot aasaan hai.[28]
DALEEL NO. 3 — KUCH KHATAM NAHI HOTA, SIRF SHAKAL BADALTI HAI
Science ka ek bunyadi qanoon ye hai ke, Energy can neither be created nor destroyed, it can only be transformed from one form to another, yani Tawanai ki na to takhleeq ho sakti hai aur na tabahi, uss ki sirf shakal badalti hai.
- Ye Thermodynamic ka pehla rule hai, jisay James Joule ne 1850 mein bayan kiya,[29] aur jisay Einstein ne expand kar ke 1905 mein E=mc² ke zariye bayan kiya ke — mass bhi energy hi hai.[30]
- Jab insan marr jata hai — toh insan puri tarha khatam nahi hota, uss ki tartib bikhar jaati hai, insan ke atoms mitti mein milte hain, heat energy hawa mein muntashir ho jaati hai — lekin kuch khatam nahi hota, sab rearrange ho jata hai. American Physicist Richard Feynman ka ye explanation hai.[31]
- Sawaal wujood ka nahi, tartib ka hai, maut ke baad iss duniya ki cheezen reorganise ho jaati hain, to jiss Zaat ne unn atoms ko pehli baar jama karke “Insan” banaya, kya woh doosri baar jama nahi kar sakta?
- Hamare Ustad Dr. Anees, kaha karte thay, Allah Ta’ala ke paas har cheez ka record hai, aur wo misaal ye dete thay ke, aap ek video record kare, Table par kuch cheezen rakhi huwi hain, phir table par ki cheezon ko dhakal kar neeche gira diya jaye aur ye sab record ho gaya, phir uss recorded video ko agar hum ultta play karenge to zameen par giri huwi cheezen wapas utth kar table par aa jaati hain.
- Jab insaan 2D me ye kaam kar sakta hai, to kya Allah Ta’ala 3D me ye kaam nahi kar sakta?
DALEEL NO. 4 — ZINDAGI KHUD QANOON TODTI HAI
Science ka ek aur qanoon, Entropy hai — har cheez bikharna chahti hai, order ko disorder me convert karti hai.
- Sciencedaan kehtay hain: Marne ke baad jism bikharna entropy hai; wapas judna na-mumkin hai. Aam taur par closed systems me entropy badhti hi hai,
- Lekin, open systems me entropy maintained rehti, jaise Insan zinda hai, khana khata hai to engery wapas milti hai, to jo order hai, wo maintain hota rehta hai, wo entropy ke khilaf kaam kar raha hai, matlab ke wo entropy ko reduce kar raha hai, increase karne ke bajaye.
- Insan ke andar 37 trillion cells har second order maintain kar rahe hain. DNA repair ho raha hai, temperature control ho raha hai — yeh sab entropy ke khilaf hai.
- Allah Ta’ala — jo system se bilkul bahar hai — jab Allah ki qudrat hayel hogi to kayenaat ko wo tabah kar dega, aur jab tak uss ki marzi hai wo iss kayenaat ko chalata rahega, to hamare liye, ye universe bhi open system hai, closed nahi hai.
DALEEL NO. 5 — DNA MEIN: AAPKA POORA BLUEPRINT MEHFOOZ HAI
Nature magazine ke 2001 ke article ke mutabiq, Har cell mein hamara poora blueprint likha hai: DNA ke 3.2 billion base pairs.
- Hamari aankhon ka rang, ungliyon ke nishan, nakhun ka shape — sab kuch, har detail uss me maujood hai.
- Qabar mein ye blueprint degrade ho jaata hai. Science iss ko wapas nahi jod sakti — yeh sach hai.
- Lekin sawaal yeh hai: Jo Programmer ne ye code likha, kya woh apna khud ka code bhool jayega?
- Sochiye ke — aap ki hard disk kharab ho jaye, data ja sakta hai.
- Lekin Cloud mein backup tha to data wapas aa jaata hai. Hard disk toot gayi to kya huwa — lekin data preserve tha.
- Allah ka ilm mitti mein nahi milta. Allah Ta’ala Surah YaaSeen me farmate hain ke,
وَكُلَّ شَيْءٍ أَحْصَيْنَاهُ فِي إِمَامٍ مُبِينٍ
- Humne har cheez ko ek wazeh kitaab mein darj kar rakha hai.[32]
DALEEL NO. 6 — KAYENAT KE QANOON ITNE PERFECT KYUN?
Kayenat ke qanoon itne perfect hain — gravity, proton ka wazan, light ki speed — ke agar koi cheez ek percent bhi idhar-udhar ho jaye, to zindagi kabhi ban hi nahi sakti thi.
- Iss ko Fine-Tuning kehte hain.[33]
- To sawal ye paida hota hai ke, jab pehli baar iss kayenaat ko banaya, to itne perfect qanoon coincidence se ban gaye — ya kisi ne intelligent tareeqe se design kiya?
- Aur agar Designer ne itni gehri planning se pehli baar banaya — to doosri baar banana, aur bhi aasaan hai — jab ke blueprint pehle se maujood aur mehfooz hai.
DALEEL NO. 7 — INSAAN KHUD EXTINCT MAKHLOOQAT KO WAPAS BANANE ME LAGA HUWA HAI
2021 mein sciencedaano ne 1 million saal purane hathi ka complete DNA reconstruct kiya — uss ke daant se jo Siberia ke baraf me mehfooz ho gaya tha.[34]
- 2022 me ek sciendaan ko Neanderthal ka DNA genome sequence karne ke liye — Nobel Prize mila.
- Jinn janwaron ki species khatam hogayi ho, yani poori nau’ hi khatam ho chuki ho unn ko banane ki sciencedaan sonch rahe hain.
- Iss silsile me, cloning ki madad se jo zinda janwar hain, unn me doosri species ke zinda cell daal kar cloning ki ja rahi hai.
- 1996 me Dolly naami ek bakri ko clone kiya, ye pehla khadam tha.[35]
- Woolly Mammoth ka De-extinction project chal raha hai — balke yun keh sakte hain ke, ek cold resistant hathi ka hybrid, jo sardi bardasht karne ki salahiyat rakhta ho, jis me woolly mammoth ki bunyadi khusoosiyaat maujood hongi, dekhne me wo uss ki tarah dikhayga, ussi ki tarah chalega aur ussi ki tarah ki pukaar hogi iss hybrid ki bhi.[36]
- Yahan ye batana zaroori hai ke, insaan ne abhi tak murda DNA se zinda janwar nahi bana paya hai, lekin uss process ke alag alag marhalon ko jaan chuka hai aur lab me banane ki koshish kar raha hai.
- Zinda cell ke hisson ko modify kar ke, doosre janwar bana diya hai – iss me maa ke reham ki zaroorat hai, jo sab kuch zinda hai, kaam kar raha hai, insaan fil waqt inn cheezon ko le kar kuch cheezen bana raha hai.
- Toh jab insaan — jis ne khud ye code nahi likha — woh 1 million saal purane janwar ke, bikre huwe fragments se poora genome recover kar sakta hai.
- To jis Zaat ne ye code ko pehli baar likha hai, kya woh apni makhlooq ko wapas nahi bana sakta?
DALEEL NO. 8 — QUDRAT KA NIZAM: MAUT AUR WAPASI
Kayenat mein har jagah cycle hai:
- Water cycle — pani daryaon se aur samandar se evaporate hota hai, badalon ki shakal ikhtiyar karta hai, hawaye usay dhakayl kar le jaati hai, aur jahan par barish hona hai wahan pani barasta hai, aur wapas daryaon me aur samandar me pahunch jata hai, aur ye cycle chalti rehti hai.
- Carbon cycle — insaan, janwar aur pedon ki maut ke baad mitti mein, sadh kar decompose ho jaate hain, mitti isay jazb kar ke khaad ka kaam karti hai, ussi se wapas pedh paudhe ugte hain, hamari giza bhi ussi se aati hai, jo zindagi ko support karti hai, to ye bhi ek cycle hai jo chal rahi hai.
- Issi tarah Nitrogen, phosphorus — har element circulate ho raha hai.
Kayenat ka default death aur return hai.
- Atomic level par — hamaray jism ke atoms har saal naye atoms se replace hote hain. Continuous death-and-rebirth chal rahi hai.
- Aur medicine me agar Dil ruk jaye to — CPR de kar wapas laya jata hai. Saans ruk gayi — to ventilator par daal kar wapas laya jata hai.
- Har din hospital mein doctors, clinical death ko reverse karte hain. Matlab ke, jab tak maut likhi nahi hai, koi marr nahi sakta, Allah ki ijazat ke baghair koi marr nahi sakta.
- Agar insaan limited qudrat se maut ko wapas kar sakta hai, Allah ki ijazat se — to Allah unlimited qudrat se doosri zindagi kyun nahi de sakta?
Ab inn daleelon ka khulasa karenge to:
- Energy khatam nahi hoti – ek form se doore me convert ho jaati hai [Joule 1850, Einstein 1905].
- Zindagi entropy ke khilaf order banati hai [Schrödinger 1944].
- 13.8 billion saal pehle adam se sab kuch wajood me aya, nothing se ye poori kayenaat bann gayi [Planck 2020].
- Har zinda shaye ka Naqsha har cell mein maujood hai [Nature 2001].
- Qanoon-e-qudrat perfect hain, unn me thodi bhi kumi ya zyadati hoti to ye kayenaat qayem nahi reh sakti [Rees 2000].
- Ek zinda cell se poori bakri banayi ja sakti hai, insaano ne ye kar ke dikha diya [Wilmut 1997].
- 10 lakh saal purana DNA wapas laya ja sakta hai [van der Valk 2021; Pääbo 2022].
- Doctor clinical maut ko wapas karte rehte hain, Allah ke hukum se ye kaam roz ho raha hai [AHA Guidelines].
- Lekin science — abhi tak be-jaan se jaandaar nahi bana payi hai [Szostak 2011].
- Aur hosh kya hai, consciousness kya hai, ye science nahi bata sakti [Chalmers 1995].
- Science ye nahi kehti resurrection impossible hai. Science kehti hai: “Abhi tak Humein tareeqa nahi maloom kaise hota hai.”
- Aur Quran mein Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) farmate hain: unhe wahi zinda karega jisne pehli baar paida kiya,…
- To jo Pehli baar paida kar sakta hai, wo doosri baar kyun nahi kar sakta, doosri baar paida karna aur bhi asaan hai.
Yahan aaj ka dars rok denge, next Saturday iss ayat ki tafseer In Sha Allah aagay sunenge.
Al hamdulillahi Rabbil Alameen
Allahumma Silli wa Sallim wa Barik ala abdika wa rasoolika wa sayyidana Muhammad wa ala aalihi wa azwaajihi wa barik wa sallam
Rabbana aatina fid duniya…
References
[2] Narrated by Ibn ‘Abbas (may Allah be pleased with them both): Al-‘As ibn Wa’il came to the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him and his family) with a decayed bone; he crumbled it and said, “O Muhammad, will Allah resurrect this after it has become dust?” He replied, “Yes, Allah will resurrect this; He will cause you to die, then bring you back to life, and then admit you into the Fire of Hell.” Thereupon, the verses were revealed—starting from “Does man not see that We created him from a drop of fluid? Yet then he is a clear adversary” (Surah Ya-Sin, Verse 77) through to the end of the Surah.
أَخْبَرَنَا إِسْمَاعِيلُ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ الْفَضْلِ بْنِ مُحَمَّدٍ الشَّعْرَانِيُّ ، ثنا جَدِّي ، ثنا عَمْرُو بْنُ عَوْنٍ ، ثنا هُشَيْمٌ ، أَنْبَأَ أَبُو بِشْرٍ ، عَنْ سَعِيدِ بْنِ جُبَيْرٍ ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا ، قَالَ: جَاءَ الْعَاصِ بْنُ وَائِلٍ إِلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ بِعَظْمِ حَائِلٍ فَفَتَّهُ ، فَقَالَ: يَا مُحَمَّدُ ، أَيَبْعَثُ اللَّهُ هَذَا بَعْدَ مَا أَرَمَ ؟ قَالَ: ” نَعَمْ ، يَبْعَثُ اللَّهُ هَذَا يُمِيتُكَ ، ثُمَّ يُحْيِيكَ ، ثُمَّ يُدْخِلُكَ نَارَ جَهَنَّمَ ” ، قَالَ: فَنَزَلَتِ الآيَاتُ أَوَلَمْ يَرَ الإِنْسَانُ أَنَّا خَلَقْنَاهُ مِنْ نُطْفَةٍ فَإِذَا هُوَ خَصِيمٌ مُبِينٌ سورة يس آية 77 إِلَى آخِرِ السُّورَةِ , هَذَا حَدِيثٌ صَحِيحٌ عَلَى شَرْطِ الشَّيْخَيْنِ وَلَمْ يُخْرِجَاهُ
Grade: Sahih (al-Hakim) | Reference: Mustadrak al-Hakim, Book 25, Hadith 3536
Also refer to Quran Unlocked | Tafsir Ibn Kathir 36:77-80
[7] Narrated Ibn `Abbas: The Prophet (ﷺ) stood up among us and addressed (saying) “You will be gathered, barefooted, naked, and uncircumcised (as Allah says): ‘As We began the first creation, We shall repeat it..’ (21.104) And the first human being to be dressed on the Day of Resurrection will be (the Prophet) Abraham Al-Khalil. Then will be brought some men of my followers who will be taken towards the left (i.e., to the Fire), and I will say: ‘O Lord! My companions whereupon Allah will say: You do not know what they did after you left them. I will then say as the pious slave, Jesus said, And I was witness over them while I dwelt amongst them……….(up to) …the All-Wise.’ (5.117-118). The narrator added: Then it will be said that those people (relegated from Islam, that is) kept on turning on their heels (deserted Islam).
حَدَّثَنِي مُحَمَّدُ بْنُ بَشَّارٍ، حَدَّثَنَا غُنْدَرٌ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، عَنِ الْمُغِيرَةِ بْنِ النُّعْمَانِ، عَنْ سَعِيدِ بْنِ جُبَيْرٍ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، قَالَ قَامَ فِينَا النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم يَخْطُبُ فَقَالَ ” إِنَّكُمْ مَحْشُورُونَ حُفَاةً عُرَاةً {كَمَا بَدَأْنَا أَوَّلَ خَلْقٍ نُعِيدُهُ} الآيَةَ، وَإِنَّ أَوَّلَ الْخَلاَئِقِ يُكْسَى يَوْمَ الْقِيَامَةِ إِبْرَاهِيمُ، وَإِنَّهُ سَيُجَاءُ بِرِجَالٍ مِنْ أُمَّتِي، فَيُؤْخَذُ بِهِمْ ذَاتَ الشِّمَالِ. فَأَقُولُ يَا رَبِّ أُصَيْحَابِي. فَيَقُولُ إِنَّكَ لاَ تَدْرِي مَا أَحْدَثُوا بَعْدَكَ. فَأَقُولُ كَمَا قَالَ الْعَبْدُ الصَّالِحُ {وَكُنْتُ عَلَيْهِمْ شَهِيدًا مَا دُمْتُ فِيهِمْ} إِلَى قَوْلِهِ {الْحَكِيمُ} قَالَ فَيُقَالُ إِنَّهُمْ لَمْ يَزَالُوا مُرْتَدِّينَ عَلَى أَعْقَابِهِمْ ”.
Reference: Sahih al-Bukhari 6526
[9] Narrated Abu Huraira: Allah’s Messenger (ﷺ) said, “Allah the Most Superior said, “The son of Adam slights Me, and he should not slight Me, and he disbelieves in Me, and he ought not to do so. As for his slighting Me, it is that he says that I have a son; and his disbelief in Me is his statement that I shall not recreate him as I have created (him) before.”
حَدَّثَنِي عَبْدُ اللَّهِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، عَنْ أَبِي أَحْمَدَ، عَنْ سُفْيَانَ، عَنْ أَبِي الزِّنَادِ، عَنِ الأَعْرَجِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ قَالَ قَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم أُرَاهُ ” يَقُولُ اللَّهُ شَتَمَنِي ابْنُ آدَمَ وَمَا يَنْبَغِي لَهُ أَنْ يَشْتِمَنِي، وَتَكَذَّبَنِي وَمَا يَنْبَغِي لَهُ، أَمَّا شَتْمُهُ فَقَوْلُهُ إِنَّ لِي وَلَدًا. وَأَمَّا تَكْذِيبُهُ فَقَوْلُهُ لَيْسَ يُعِيدُنِي كَمَا بَدَأَنِي”.
Reference: Sahih al-Bukhari 3193
[11] Narrated Al–A`mash: Abu Huraira said, “Allah’s Messenger (ﷺ) said, ‘Between the two sounds of the trumpet, there will be forty.” Somebody asked Abu Huraira, “Forty days?” But he refused to reply. Then he asked, “Forty months?” He refused to reply. Then he asked, “Forty years?” Again, he refused to reply. Abu Huraira added. “Then (after this period) Allah will send water from the sky and then the dead bodies will grow like vegetation grows, There is nothing of the human body that does not decay except one bone; that is the little bone at the end of the coccyx of which the human body will be recreated on the Day of Resurrection.” (See Hadith No. 338)
حَدَّثَنِي مُحَمَّدٌ، أَخْبَرَنَا أَبُو مُعَاوِيَةَ، عَنِ الأَعْمَشِ، عَنْ أَبِي صَالِحٍ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ” مَا بَيْنَ النَّفْخَتَيْنِ أَرْبَعُونَ ”. قَالَ أَرْبَعُونَ يَوْمًا قَالَ أَبَيْتُ. قَالَ أَرْبَعُونَ شَهْرًا قَالَ أَبَيْتُ. قَالَ أَرْبَعُونَ سَنَةً قَالَ أَبَيْتُ. قَالَ ” ثُمَّ يُنْزِلُ اللَّهُ مِنَ السَّمَاءِ مَاءً. فَيَنْبُتُونَ كَمَا يَنْبُتُ الْبَقْلُ لَيْسَ مِنَ الإِنْسَانِ شَىْءٌ إِلاَّ يَبْلَى إِلاَّ عَظْمًا وَاحِدًا وَهْوَ عَجْبُ الذَّنَبِ، وَمِنْهُ يُرَكَّبُ الْخَلْقُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ ”.
Reference: Sahih al-Bukhari 4935,
Abu Huraira reported Allah’s Messenger (ﷺ) as saying: The earth would consume all of the son of Adam except his tailbone. From it he was created, and from it he will be recreated (on the Day of Resurrection).
وَحَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ بْنُ سَعِيدٍ، حَدَّثَنَا الْمُغِيرَةُ، – يَعْنِي الْحِزَامِيَّ – عَنْ أَبِي الزِّنَادِ، عَنِ الأَعْرَجِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ” كُلُّ ابْنِ آدَمَ يَأْكُلُهُ التُّرَابُ إِلاَّ عَجْبَ الذَّنَبِ مِنْهُ خُلِقَ وَفِيهِ يُرَكَّبُ ” .
Reference: Sahih Muslim 2955b
[12] Moore, Keith L. The Developing Human, 11th edition, 2020
[13] Spemann & Mangold, Roux’s Archiv, 1924, Nobel 1935
[14] Source: Hadith Resources | Humans resurrect from tailbone, Sahih Ibn Hibban 3138, Sahih Ibn Hibban 3139 Sahih Ibn Hibban 3140
[15] In brief, the apparent indication of the Hadeeth is that a tiny part of the tailbone does not decay. The fact that people do not find that part in the graves does not prove otherwise because it is a very tiny part…
Source: Islamweb | The decomposition of the coccyx bone
[16] Source: Mustard seed – Wikipedia
[17] Source: Source: CT morphology and morphometry of the normal adult coccyx – PMC
[21] Narrated ‘Abdullah bin ‘Umar: Allah’s Messenger (ﷺ) said, ‘If anyone says to his brother, ‘O misbeliever! Then surely, one of them such.”
حَدَّثَنَا إِسْمَاعِيلُ، قَالَ حَدَّثَنِي مَالِكٌ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ دِينَارٍ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عُمَرَ ـ رضى الله عنهما ـ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ” أَيُّمَا رَجُلٍ قَالَ لأَخِيهِ يَا كَافِرُ. فَقَدْ بَاءَ بِهَا أَحَدُهُمَا ”.
Reference: Sahih al-Bukhari 6104
It is reported on the authority of Ibn ‘Umar that the Messenger of Allah (may peace and blessings be upon him) said: Any person who called his brother: “O unbeliever” (has in fact done an act by which this unbelief) would return to one of them. If it were so, as he asserted (then the unbelief of man was confirmed but if it was not true), then it returned to him (to the man who labeled it on his brother Muslim).
وَحَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ يَحْيَى التَّمِيمِيُّ، وَيَحْيَى بْنُ أَيُّوبَ، وَقُتَيْبَةُ بْنُ سَعِيدٍ، وَعَلِيُّ بْنُ حُجْرٍ، جَمِيعًا عَنْ إِسْمَاعِيلَ بْنِ جَعْفَرٍ، قَالَ يَحْيَى بْنُ يَحْيَى أَخْبَرَنَا إِسْمَاعِيلُ بْنُ جَعْفَرٍ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ دِينَارٍ، أَنَّهُ سَمِعَ ابْنَ عُمَرَ، يَقُولُ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ” أَيُّمَا امْرِئٍ قَالَ لأَخِيهِ يَا كَافِرُ . فَقَدْ بَاءَ بِهَا أَحَدُهُمَا إِنْ كَانَ كَمَا قَالَ وَإِلاَّ رَجَعَتْ عَلَيْهِ ” .
Reference: Sahih Muslim 60b
[22] Al-Majmu’, Imam Nawawi
[23] Source: Winter 1859 | American Scientist
[24] Source: Miller–Urey experiment – Wikipedia
[25] Source: A breakthrough in electron microscopy delivers sharper images of our body’s tiniest proteins – Berkeley News
[26] Source: Jack Szostak pursues the biggest questions on Earth | Harvard Magazine
[27] Source: Here’s why scientists don’t know how life on Earth began | BBC Science Focus Magazine and The Origin of Life – We Still Don’t Know How Life Began
[29] Source: Heat, work and subtle fluids: a commentary on Joule (1850) ‘On the mechanical equivalent of heat’ – PMC
[30] Source: Mass–energy equivalence – Wikipedia
[31] Source: Death Is Not The End — Feynman Explains What Physics Says About Dying
[33] Source: The physics of the universe appear to be fine-tuned for life. Why? | Space, Fine-tuned universe – Wikipedia and Is our universe tuned for life? | Astronomy.com
[34] Source: van der Valk et al., Nature 2021
[35] Every SECRET Genetic Experiment on Animals, Explained
[36] Source: Woolly Mammoth De-extinction Project & Process | Colossal
[1]Kya yahan tu sirf musalmano ki baat kar raha hai ya general public ki, ooper ki line parrh kar aisa samajh me aa raha hai ke, musalmano ki hi baat kar raha hai, doosron ki nahi
[2]I had to rewrite, time wasted 2 hours, because what you wrote did not match with the source
