Aoozu Billahi as-Samee al-Aleemi minash Shaitanir Rajeem
Bismillah,…, Alhamdulillahi wahdah was salaatu was salaamu ala man la nabiya ba’adah
Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani yafqahu qauli
As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu
Pichle Dars me hum Surah al-Baqarah ki 27wi ayat ki tafseer me aakhri do alfaaz ki tafseel sunn rahe thay. Aaj ke dars me hum 28wi ayat ki tafseel jaanenge.
Tarjuma wa Tafseer
Vs. No. 28
كَيۡفَ تَكۡفُرُوۡنَ بِاللّٰهِ وَڪُنۡتُمۡ اَمۡوَاتًا فَاَحۡيَاکُمۡۚ ثُمَّ يُمِيۡتُكُمۡ ثُمَّ يُحۡيِيۡكُمۡ ثُمَّ اِلَيۡهِ تُرۡجَعُوۡنَ
Tum kaise kufr karte ho Allah ka, halanke tum murda thay phir uss ne tumhe zindah kiya, phir wo tumhe maarega phir tumhe zinda karega phir tum ussi ki taraf lautta diye jaoge.
Iss ayat ke tamam alfaaz hum pehle duroos me cover kar chuke hain, to iss ayat ke alfaaz ko summarize karne ki koshish karenge, to iss ayat me jo chaar alfaaz hain wo hain, takfuroona (ye lafz kufr se hai), amwaata (maut se hai), ahyakum (hayat se hai) aur turjaoon.
To iss ayat ka pehla lafz jo hum summarize kar rahe hain, wo hum Surah al-Fatiha se parrhne ki tarteeb ka lafz number 32 tha, wo hai lafz-e-takfuroon (ye lafz kufr se) hai.
32. KAFARUU (They reject ) ( كَفَرُوْا ( ك ف ر 2:6
Lafz-e-Kafaru ka bunyadi matlab inkar karna, na-shukri karna, ya kisi haqeeqat ko chhupana hai, jiss ki roo se Kaafir wo hai jo Allah, uss ke farishton, kitabon, nabiyon, aur aakhirat ka inkar kare.
Quran o Hadith ki roshni mein, kuffaar Allah ki bad-tareen makhlooq hain jo logon ko deen se rokte hain aur shirk o munafiqat jaise gunahon mein mubtila rehte hain, jiss ki wajah se aakhirat mein unhein sakht azab ka samna karna padega aur farishte maut ke waqt unhein dozakh ki khabar sunayenge. Musalmano ko aise kaafiron se dosti karne se mana kiya gaya hai jo Islam ka mazakh udate hain, iss ke bawajood aman-pasand ghair-muslimon ke sath husn-e-sulook karne ki ijazat hai.
Ahadith ke mutabiq ye duniya kaafir ke liye jannat aur momin ke liye jail hai, aur kisi Musalman ko nahaq “kaafir” kehne se sakht mana kiya gaya hai, kyun ke, aisa kehna palat kar kehne wale par hi aa jata hai; jabke kufr ka asal mafhoom uss fitri iman aur ahd ko chhupana hai jo har insan ki rooh ne paidaish se pehle Allah ke sath kiya tha.[1]
Phir, iss aya ka doosra lafz jo hum summarize kar rahe hain, wo Surah al-Fatiha se parrhne ki tarteeb ka lafz number 88 tha, wo hai lafz-e-al-Maut.
88. AL MAWT (Death) ( اَلْمَوْت ( م و ت 2:19
Lafz-e-Maut ka matlab death hai, jo hayat (zindagi) ka opposite hai aur jiss ka poora ikhtiyar sirf Allah ke hath mein hai.
Quran ke mutabiq har jaandaar ko maut ka maza chakhna hai aur koi bhi insaan la-fani nahi hai; Allah insaan ka nafs (consciousness) maut ke waqt hamesha ke liye aur neend ke waqt aarzi ya temporary taur par leta hai. Insaan ki do maut aur do zindagiyan hain—pehli maut biological non-existence thi jiss se Allah ne humein iss duniya me zindagi di – hamara imtehan ya test lene ke liye, aur doosri maut iss jism ke khatam hone par aayegi jiss ke baad Qiyamat ke din roohon ko naye badano ke sath waise hi recreate kiya jayega (yahan tak ke fingertips samet) jaise pehle tha, dobara zinda kiya jayega. Aakhirat ki iss doosri zindagi mein insaan poore sha’oor ke sath apne amaalnaame ka samna karega aur apne record ke mutabiq Jannat ki jismani lazzatein ya Jahannam ki sakht takleefein uthayega.
Allah Ta’ala ne har shakhs ki maut ka waqt aur jagah pehle se muqarrar kar rakhi hai, jiss se koi mefooz nahi reh sakta chahe wo bade qilon mein chhup jaye ya kisi door kehkashan mein chala jaye; chunache insaan ko hukum hai ke wo har lamha ba-shaoor rehte huwe sirf Islam ki halat mein mare.
Duniya mein bhi Allah ne maujizaat ke zariye murdon ko zinda karke dikhaya (jaise ek shakhs ko 100 saal murda rakhna aur Hazrat Isa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ka chidiya ke putlon ko Allah ke hukum se zindagi dena), jabke aam insaan par jab maut ki be-khudi (Sakraat al-Maut) taari hoti hai, to Malak al-Maut aur unn ke farishte bina kisi kotahi ke rooh qabz kar lete hain. Iss mauqe par nek roohon ka istaqbal “Salaamun Alaikum” aur Jannat ki khushkhabri se hota hai, jabke kuffaar aur zaalimon ko chehron aur peethon par maarte huwe azab ka maza chakhaya jata hai. Agarchay aam murde baat nahi sun sakte, lekin Allah ki raah mein shaheed hone wale zinda hain aur unhein rizq diya jata hai.
Aakhirat mein, jaise barish se murda zameen ji utth-ti hai, waise hi Qiyamat ke din sab zameen se dobara nikale jayenge jahan Jannat mein dakhil hone walon ke liye hamesha ki zindagi (Al-Haiwaan) hogi aur maut ko hamesha ke liye khatam (zibah) kar diya jayega; jabke Jahannam mein mujrim aur na-shukre kuffaar iss haulnaak halat mein honge ke na unhein maut aayegi aur na wo sukoon se ji sakenge.
Ahadith ki roshni me, maut ek aesi sakht haqeeqat hai jiss ki takleef aur shiddat se khud Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne inteqaal ke waqt pannah mangi; jabke kamil iman ke liye maut, marne ke baad ki zindagi, aur taqdeer par yaqeen rakhna shart hai. Maut ke qareeb momin ko Allah ki khushnoodi ki bisharat milti hai jiss se wo Allah se mulaqat ka khwahesh-mand hota hai, jabke kaafir azaab ki khabar sun kar iss mulaqat se parhez karna chata hai.
Aap (صلى الله عليه وسلم) ne na-haq maut ki tamanna karne se mana farmaya taakay insaan ko nek amaal ya tauba ki mohlat mil sake, jabke sadqa-e-jariya (jaise deeni ilm ko sikhana, naik aulad, Quran sikhana, masjid ya musafir-khana ki tameer karna) maut ke baad bhi ajar ka zariya bante hain. Iss ke alawa, Aap (صلى الله عليه وسلم) ne maut ko “lazzaton ko khatam karne wali” qarar de kar isay kasrat se yaad karne aur qabrastan jaane ka hukum diya, aur farmaya ke maut ek khaufnaak cheez hai jiss ke ehteram mein janaza dekh kar khade ho jana chahiye (chahe wo kisi ghair-muslim ka hi kyun na ho).
Maut se qabl Allah se achi umeed rakhna zaroori hai, jabke maut par cheekh kar rona aur seena peetna sakht gunah hai, albatta dilon mein reham ki wajah se ansoo bahana qudrati rehmat hai. Aakhir mein, maut se bachne ka koi rasta nahi kyun ke kalonji mein maut ke siway har bimari ka ilaaj hai, lekin ek formula maut ke baad ki zindagi ke preparation me ye hai ke, har farz namaz ke baad Ayat al-Kursi parhna ek aisa azeem amal hai jiss ke parrhne walay aur Jannat ke darmiyan sirf maut hi rukawat reh jaati hai.
Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke aqalmand wo hai jo maut se pehle apna muhasaba (self-evaluation) kare aur nek amaal kamaye, jabke bewaqoof apni nafsaani khwaheshaat ke peeche bhaagta hai aur nahaq duaein maangta hai. Momin ki maut ki ek nishani maathay par paseena aana hai jo uss ki zindagi bhar ki deeni jadd-o-jahd ko zahir karti hai. Insan ko sehat aur tandurusti ki halat mein hi sadaqa o khairat kar lena chahiye, kyun ke, maut ke waqt wasiyat karne ka koi khas faida nahi hota, jab maal pehle hi warison ka ho chuka ho; iss ke alawa, marne se pehle kalima naseeb hona roshan amaal aur rooh ke sukoon ki alamat hai, jabke achanak maut momin ke liye tohfa o rehmat aur kaafir ke liye saza hai. Ahadith se sabit hai ke tamam Anbiya (عَلَيْهِم ٱلسَّلَام) ko maut ke waqt duniya mein rehne ya rukhsaat hone ka ikhtiyar diya jata hai aur unhein jannat mein unn ka muqam dikhaya jata hai; jaisa ke Hazrat Musa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne umar darazi ki pesh-kash ke bawajood maut hi ko chuna aur Huzoor (صلى الله عليه وسلم) ne bhi aakhri waqt mein Amma Aisha ki godh mein behoshi se bedaar ho kar Amma Aisha ki riwayat ke mutabiq duniya par Allah ki dosti ko tarjeeh di aur “Al-Rafeeq al-A’la” (sab se behtareen saathi) ka kalima ada farmaya. Aakhir mein, jahan ek shaheed ko maut ki takleef sirf ek keeday ke kaatne jitni mehsoos hoti hai, wahan doosri taraf duniya-parast log (jaise yahood o mushrikeen) maut se sakht nafrat karte hain aur hazar saal jeene ki tamanna rakhte hain, magar aesi lambi umar bhi unhein aakhirat mein dozaq ke azaab se hargiz nahi bacha sakti.
Maut se qudrati karahiyat aur asal nafrat ke darmiyan farq ko wazeh kiya gaya hai; Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke jo Allah se milne ki khwahesh rakhta hai Allah bhi uss se milna chahta hai, aur jab Amma Aisha ne maut se qudrati nafrat ka zikr kiya to aap (صلى الله عليه وسلم) ne wazeh farmaya ke asal kamzori “Wahn”.
Ek azeem peshangoi ke mutabiq, aakhri zamane mein dushman musalmano par aise toot padenge jaise khane ke bartan par log toott-te hain, aur ye halat musalmano ki tedad ki kami ki wajah se nahi balkay unn ke dilon mein “Wahn” yani duniya ki mohabbat aur maut se nafrat paida hone ki wajah se hogi, jiss ke chalte wo sailaab ke kachre ki tarah be-wazan ho jayenge. Issi liye aap (صلى الله عليه وسلم) ne maut ko kasrat se yaad karne aur qabron ki ziyarat ka hukum diya hai. Aakhir mein, Qiyamat ke waqt ke mutabiq farmaya gaya ke insaan ki Qiyamat uss ki maut jitni hi door hai, kyun ke, marne ke baad insaan seedha Qiyamat hi ke din aankh kholega; chunache maut aur Qiyamat insaan se mehez chand lamho ya chand seconds ki doori par hain, yahan tak ke namaz mein ek taraf salam pherne ke baad doosri taraf salam pherne tak ki bhi koi guarantee nahi hai.
Iss ayat ka teesra lafz aur Surah al-Fatiha se parrhne ki tarteeb ka lafz number 123 tha, ahyakum, iss lafz ko hum ne sirf yastahyi yani sharm ke maano me samjha tha, Surah al-Baqarah ki 26wi ayat me, aur wahan par bataya tha ke iss lafz ke maane hayaat yani zindagi ke bhi hain.
123. YASTAH-YIII (He is ashamed) ( يَسْتَحْىِ ( ح ى ى 2:26
Quran me ye lafz,
- Zindah karne ya zindagi dene ke maano me aaye hain, Surah al-Baqarah ki iss ayat me farmaya ke tum murda thay, uss ne yani Allah ne tumhe zinda kiya, phir tumhe maut dega aur phir qiyamat ke din zinda karega.[2]
- Surah at-Taubah me farmaya, beshak, wo Allah hi hai jis ke liye aasmaano aur zameen ki badshahi hai, wohi zinda rakhta hai aur wohi maut deta hai, aur Allah ke siway na koi tumhara koi dost hai aur nahi koi madadgaar.[3]
- Jeene ke maane aaye hain, Adam aur Hawwa (عَلَيْهِم ٱلسَّلَام) ka jannat se iss duniya par utaare jaane ke baad, Allah Ta’ala ne farmaya ke, issi me tumhara jeena hoga aur issi me tumhara marna aur issi me se tumhe inkaal liya jayega.[4] yani qiyamat ke din.
- Kafir samajhte hain ke, zindagi to yehi duniya ki zindagi hai ke, issi me hum marte aur jeete hain, aur hum phir nahi utthaye jayenge.[5]
- Maut ke baad utthaye jaane ke baare me Surah al-Baqarah hi me farmaya…Barish ka paani jo Allah ooper se barsata hai, phir uss ke zariye zameen ko zindagi deta hai aur apne uss intezaam ki badaulat zameen me har qism ke jaandaar makhlooq phailata hai…[6]
- Surah al-Maidah me, Habil aur Qabil ke jhagde me, Qabil ke qatl ki wajah se farmaya, Uss qatl ki wajah se Hum ne Bani Israil par ye hukum nazil kiya ke, jo shakhs kisi ko (na-haq) qatal karega, yani baghair iss ke, ke jaan ka badla liya jaye ya mulk me kharabi ya fasad karne ki saza di jaye, uss ne goya tamam logon ko qatl kiya aur jis ne kisi ki jaan bachai, uss ne goya tamam insaano ko zindagi bakhsh di…[7]
- Firawn, Bani Israil ke mard bachhon ka qatl kar deta tha, aur bachhiyon ko zinda rehne deta tha, iss me Allah Ta’ala farmate hain ke, unn ki taraf se aazmaish thi…[8]
- Aur jo log Allah ki raah me maare jayen, unn ki nisbat ye na kehna ke wo murda hain, balke wo zinda hain lekin tum nahi jaante.[9] aur wo apne Rabb ke paas rizq paa rahe hain.[10]
- Aur farmaya ke, Qisaas me, khoon ka badla lene ya dene me hi zindagi hai…[11] aqalmandon ko iss par ghaur-o-fikr karne ko kaha.
- Allah Ta’ala ke asmanul Husna me al-Hayy bhi hai, Hamesha Zinda Rehne wala.[12]
- Ye duniya ki zindagi ke baare me farmaya ke,
- Ye to sirf khel aur tamasha hai…[13]
- …Ye to dhokay ka saman hai.[14]
- Aur jo kafir hain unn ke liye ye duniya ki zindagi, khushnuma ya muzayyan ya decorate kar di gayi hai…[15]
- Logon ko unn ke khwahish ki cheezen, yani auratein aur baytte aur sonay aur chandi ke baday baday dhayr aur nishaan lagay huwe ghoday aur maweshi aur kheti, bohot attractive ya zeenat-daar maloom hoti hai, ye sab duniya ki zindagi ka samaan hai…[16]
- Bani Israil ke zulm ka zikr karte huwe farmaya, unn ke liye ye duniya ki zindagi me ruswai hai…[17]
- Phir farmaya, Ye wo log hain, jinhone aakhirat ke badle duniya ki zindagi khareed li hai…[18]
- Phir Yahood ke baare me farmaya ke, tum unhe mushrikeen se zyada iss duniya ki zindagi ka harees ya greedy paoge…
- Yani wo chahte hain ke, unn ki duniya ki zindagi lambi ho, aur unn me se har ek ye chahta hai ke, ek hazar saal tak jeeta rahe.[19]
- Aur koi shakhs aisa hai, jis ki batein bohot achi lagti hai, iss duniya ki zindagi me, halanke asal me wo shadeed tareen dushman hai.[20]
- Duniya ki zindagi me to tum log mujrimon ki taraf se behas kar lete ho, lekin Qiyamat ke din Allah se unn ke baare me kaun jhagda karega?[21]
- Jo log apne deen ko khel aur tamasha bana rakhe hain, unhe duniya ki zindagi ne dhoke me daal rakha hai…[22]
- Beshak, wo log jo Hum se mulaqat ki tawaqqo nahi rakhte aur duniya ki zindagi se khush aur mutma’in ho baitthe hain aur hamari ayaat se ghafil hain.[23] yehi wo log hain jin ka tthikana aag hai, apni iss kamayi ke sabab jo wo kar rahe hain.[24]
- Aur (Kafir) jo maal duniya ki zindagi me ye kharch karte hain, uss ki misaal hawa ki si hai jis me sakht sardi ho aur wo aise logon ki kheti par jo apne aap par zulm karte thay chalay aur usay tabah kar de…[25]
- Aye jinno aur insaano ki jama’at kya tumhare paas, tum hi me se rasool nahi aate rahe, jo Meri ayatein tum ko parrh parrh kar sunaate aur iss (qiyamat ke) din ke saamne aa-maujood hone se daraate thay, wo kahenge ke, aye hamare paalne walay Malik, hum gawahi dete hain apne khilaf aur unhe duniya ki zindagi ne dhoke me daal rakha tha,…[26]
- Kafiron ke shirk aur unn ki makkariyon ka zikr karte huwe farmaya ke, unn ko duniya ki zindagi me bhi azab hai aur aakhirat ka azab to bohot sakht hai, aur unhe Allah ke azab se koi bachane wala nahi.[27]
- Surah Kahf me farmaya ke, aur unn se duniya ki zindagi ki misal bayan kar dijiye, wo aisi hai, jaise pani aasmaan se barsaya, to uss ke sath mil kar zameen ka sabza nikal aya, phir wo choora choora ho gaya ke, hawa’in usay udaaye phirti hain, aur Allah har cheez par qudrat rakhne wala hai.[28]
- Allah Ta’ala momino ke dilon ko sahih aur pakki baat se duniya ki zindagi me bhi mazboot rakhta hai aur aakhirat me bhi rakhega…[29]
- Momino ko jihaad ki taraf encourage karte huwe, Surah at-Tauba me farmaya ke, duniya ki zindagi ka saaz-o-saman aakhirat ke muqable me bohot hi kum hai.[30]
- Jo log duniya ki zindagi ko aakhirat ke badle baychne ke liye tayyar rehte hain, wo Allah ki raah me jung karte hain…[31]
- Jung ke mauqe par tahqeeq se kaam liya karo, aur jo shakhs tum se salam alaik kare, uss se ye na kaho ke tum momin nahi ho, takay duniya ki zindagi ka thoda sa faida hasil karo…[32]
- Jo shakhs nek amaal karega, mard ho ya aurat, aur wo momin bhi hoga to Hum uss ko duniya me paakiza zindagi basar karwayenge…[33]
- …Aur aakhirat ka ghar hi yaqeenan asal zindagi hai.[36]
Iss lafz par ahadith me,
- Jannat me ek darya-e-hayat hai, jis me dozakh se nikaal kar unn logon ko daala jayega jis ke dil me rai ke barabar iman hoga, wo uss me se aise ugenge jaise sabzi kisi darya ke kinaare ugti hai.[37]
- Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, bodhay aadmi ka dil, do cheezon ki zindagi bhar ki muhabbat me jawan rehta hai, lambi zindagi aur daulat se muhabbat.[38]
- Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, Tum mein se koi bhi kisi aafat ke aan padne ki wajah se maut ki tamanna na kare; lekin agar usay maut ki tamanna karni hi hai to wo ye kahe: “Aye Allah! Mujhe zinda rakh jab tak zindagi mere liye behtar ho, aur mujhe maut de agar maut mere liye behtar ho.”.[39]
- Bukhari ki hadith, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, Jab ek Musalman se qabr mein sawal kiya jayega to woh gawahi dega ke Allah ke alaawa kisi aur ki ibadat ka haq nahi aur Muhammad (صلى الله عليه وسلم) Allah ke Rasool hain, aur yehi woh matlab hai Allah ke is farman ka:– “Allah imaan walon ko ek mazboot baat ke saath iss duniya mein aur aakhrat mein qayem rakhega.”[40]
- Ek muhaaz par Musalman fauj, ek adami se milay, jinke paas chand bhedein thi, uss ne Salam kiya lekin unn logon ne usay qatal kar diya aur woh chand bhedein le li. Isi mauqa par ye ayat nazil huwi: “Aye ahle iman, jab tum Allah ki raah me bahar niklo to tehqeeq kar liya karo, aur jo shakhs tumhare saamne salam pesh kare, uss ko ye na kaho ke tum momin nahi ho, takay tum duniya ki zindagi ka faida hasil karo…” yani woh chand bhedon ki baat yahan ho rahi hai.[41]
Yahan hum aaj ka dars rok denge, iss ayat ki baqi tafseer next Saturday In Sha Allah karenge.
Al hamdulillahi Rabbil Alameen
Allahumma Silli wa Sallim wa Barik ala abdika wa rasoolika wa sayyidana Muhammad wa ala aalihi wa azwaajihi wa barik wa sallam
Rabbana aatina fid duniya…
References
[1] Source: Quranic Resources | 32-kafaroo
[37] Narrated Abu Said Al-Khudri: The Prophet said, “When the people of Paradise will enter Paradise and the people of Hell will go to Hell, Allah will order those who have had faith equal to the weight of a grain of mustard seed to be taken out from Hell. So they will be taken out but (by then) they will be blackened (charred). Then they will be put in the river of Haya’ (rain) or Hayat (life) (the Narrator is in doubt as to which is the right term), and they will revive like a grain that grows near the bank of a flood channel. Don’t you see that it comes out yellow and twisted”
حَدَّثَنَا إِسْمَاعِيلُ ، قَالَ حَدَّثَنِي مَالِكٌ ، عَنْ عَمْرِو بْنِ يَحْيَى الْمَازِنِيِّ ، عَنْ أَبِيهِ ، عَنْ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيِّ ، رضى الله عنه ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ” يَدْخُلُ أَهْلُ الْجَنَّةِ الْجَنَّةَ، وَأَهْلُ النَّارِ النَّارَ، ثُمَّ يَقُولُ اللَّهُ تَعَالَى أَخْرِجُوا مَنْ كَانَ فِي قَلْبِهِ مِثْقَالُ حَبَّةٍ مِنْ خَرْدَلٍ مِنْ إِيمَانٍ. فَيُخْرَجُونَ مِنْهَا قَدِ اسْوَدُّوا فَيُلْقَوْنَ فِي نَهَرِ الْحَيَا ـ أَوِ الْحَيَاةِ ، شَكَّ مَالِكٌ ـ فَيَنْبُتُونَ كَمَا تَنْبُتُ الْحِبَّةُ فِي جَانِبِ السَّيْلِ، أَلَمْ تَرَ أَنَّهَا تَخْرُجُ صَفْرَاءَ مُلْتَوِيَةً ” . قَالَ وُهَيْبٌ حَدَّثَنَا عَمْرٌو ” الْحَيَاةِ ”. وَقَالَ ” خَرْدَلٍ مِنْ خَيْرٍ ”.
Reference: Sahih al-Bukhari 22
[38] Abu Huraira reported that the Messenger of Allah (may peace be upon him) had said this: The heart of an old person is young for two things: for long life and love for wealth.
وَحَدَّثَنِي أَبُو الطَّاهِرِ ، وَحَرْمَلَةُ ، قَالاَ أَخْبَرَنَا ابْنُ وَهْبٍ ، عَنْ يُونُسَ ، عَنِ ابْنِ شِهَابٍ ، عَنْ سَعِيدِ بْنِ الْمُسَيَّبِ ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ” قَلْبُ الشَّيْخِ شَابٌّ عَلَى حُبِّ اثْنَتَيْنِ طُولُ الْحَيَاةِ وَحُبُّ الْمَالِ ” .
Reference: Sahih Muslim 1046b
[39] Narrated Anas bin Malik: The Prophet said, “None of you should wish for death because of a calamity befalling him; but if he has to wish for death, he should say: “O Allah! Keep me alive as long as life is better for me, and let me die if death is better for me.’ “
حَدَّثَنَا آدَمُ ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ ، حَدَّثَنَا ثَابِتٌ الْبُنَانِيُّ ، عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ ـ رضى الله عنه ـ قَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ” لاَ يَتَمَنَّيَنَّ أَحَدُكُمُ الْمَوْتَ مِنْ ضُرٍّ أَصَابَهُ، فَإِنْ كَانَ لاَ بُدَّ فَاعِلاً فَلْيَقُلِ اللَّهُمَّ أَحْيِنِي مَا كَانَتِ الْحَيَاةُ خَيْرًا لِي، وَتَوَفَّنِي إِذَا كَانَتِ الْوَفَاةُ خَيْرًا لِي ” .
Reference: Sahih al-Bukhari 5671
[40] Narrated Al-Bara bin Azib: Allah’s Apostle said, “When a Muslim is questioned in his grave, he will testify that none has the right to be worshipped but Allah and that Muhammad is Allah’s Apostle, and that is what is meant by Allah’s Statement:– “Allah will keep firm those who believe with a Word that stands firm in this world and in the
Hereafter.” (14.27)
حَدَّثَنَا أَبُو الْوَلِيدِ ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ ، قَالَ أَخْبَرَنِي عَلْقَمَةُ بْنُ مَرْثَدٍ ، قَالَ سَمِعْتُ سَعْدَ بْنَ عُبَيْدَةَ ، عَنِ الْبَرَاءِ بْنِ عَازِبٍ ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ” الْمُسْلِمُ إِذَا سُئِلَ فِي الْقَبْرِ يَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَنَّ مُحَمَّدًا رَسُولُ اللَّهِ، فَذَلِكَ قَوْلُهُ {يُثَبِّتُ اللَّهُ الَّذِينَ آمَنُوا بِالْقَوْلِ الثَّابِتِ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَفِي الآخِرَةِ} ”
Reference: Sahih al-Bukhari 4699
[41] Narrated Ibn ‘Abbas: The Muslims met a man with some sheep of his. He said: Peace be upon you. But they killed him and took those few sheep. Thereupon the following Qur’anic verse was revealed: “…And say to anyone who offers you a salutation: Thou art none of believer, coveting the perishable good of this life.” meaning these few sheep.
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عِيسَى ، حَدَّثَنَا سُفْيَانُ ، حَدَّثَنَا عَمْرُو بْنُ دِينَارٍ ، عَنْ عَطَاءٍ ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ ، قَالَ لَحِقَ الْمُسْلِمُونَ رَجُلاً فِي غُنَيْمَةٍ لَهُ فَقَالَ السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ فَقَتَلُوهُ وَأَخَذُوا تِلْكَ الْغُنَيْمَةَ فَنَزَلَتْ { وَلاَ تَقُولُوا لِمَنْ أَلْقَى إِلَيْكُمُ السَّلاَمَ لَسْتَ مُؤْمِنًا تَبْتَغُونَ عَرَضَ الْحَيَاةِ الدُّنْيَا } تِلْكَ الْغُنَيْمَةَ .
Grade: Sahih (Al-Albani) | Reference: Sunan Abi Dawud 3974
